GITANJALI BARAL   (Gita)
15 Followers · 3 Following

read more
Joined 27 March 2023


read more
Joined 27 March 2023
7 FEB 2024 AT 17:57

Dar ki chadar hatakar, kabhi kabar jindegi ki thand ko mehsus karlena chahiye,
Udasi ka kohra to mit hi Jana hai par usme kabhi kabar gum hona bhi chahiye,
Khusi ki aag mein to harkoi tapta hai kabhi kabar os ke boond mein bhi bhig jana chahiye,
Pyar ki dhup to har koi chahta hai par thandi rat sa wo akelapan mein kabhi kabar gum ho jana chahiye.......

-


5 DEC 2023 AT 11:44

Bolna tha bahut, par kisine hal nahi pucha,
Naraj thi bahut, par kisine manane ka nahi socha,
Or phir is juban ne dil ka hal batna,
Or dil ne naraj hone ko kabhi nahi socha....

-


22 NOV 2023 AT 23:18

Talash hai ek kandhe ki jispe sar rakha ja sake,
talash hai un ankhonki jo meri ankhon ko padh sake,
Talash hai ek khamosiki jis mein hajaron bat bola ja sake,
Talash hai ek dilasa ki jo mujhe khudpe phirse ekin dilasake,
Talash hai ek esi saksiyat ki Jo bas har pal hath tham sake....

-


24 JUN 2023 AT 22:23

Bar bar ankhon ka yun takrana kuch ajeeb nahi hai,
Jahan mein yunhi tumhara khyal ajana kuch ajeeb nahi hai ,
Wese rishta to kuch nahi hai humare beech
Phir bhi dil ka tumhe Apna manana kuch ajeeb nahi hai...

-


3 JUN 2023 AT 9:48

Janti hun tu rutha hai tuta hai
Sambhal le khudko e dil jara yanha har koi jhuta hai

-


26 MAY 2023 AT 19:38

Aakar chalejana bakt ki fitrat hai
Par wanhi theher jana humara fitrat hai...

-


15 MAY 2023 AT 22:05

Ekelepan ki us band kamrese ,bahar nikal kar to dekho
Kissi or par nahi ek bar khudpe pyar lutake to dekho
Uss gam ki sadak ko par karnekeliye muskurahat ke hath tham ke to dekho
Kabhi panchi ki tarha khule asman pe udke to dekho,
Ek bar khudepe yakin karke to dekho....

-


16 APR 2023 AT 22:10

Dard ko to hum bayan kar sakte hain par jajbatt ka kya kare,
lamho ko to hum ji lete hein par yadoon ka kya kare,
‎ din ki shor ko to apnalete hain rat ki khamosi ka kya kare,
‎ jism ko to saf karsakten hain par rooh ka kya kare ???

-


8 APR 2023 AT 20:25

Mana ye duniya itna bura nahi hai,par accha bhi kanha hai ?
Har koi dushman nahi hai ,par dost bhi kanha hai ?
Sab apne taklefon mein itne gum hai,kissise bat karne ko yanha kisike pas fursat hi kanha hai 😕

-


4 APR 2023 AT 20:28

Uss ishq se bade khafa the hum,
Kyunki ishq se anjan the hum,
uss ishq se jab takraye hum,
Ishq se hi ishq kar baithe hum...

-


Fetching GITANJALI BARAL Quotes