तेरी तलब न थी मुझे,
बस किया तुझपे ऐतबार था |
सिर्फ एक ही चीज़ से वाकिफ थे तुझमे,
जिसे नाम दिया हमने प्यार था |-
Najaiz se uss waqt mein bhi,
Beparwah se hote they.
Kuch bachpana waqt mein tha.
Kuch hum shaitan se hote they.
Uss bechain se waqt mein bhi hum.
Beparwah se he sote they.-
Woh gunche bhi gulzaar khilein,
Tere nainon se jo shadaab huye.
Teri hansi labon pe aane se pehle,
tu nazron se aadab kare.-
Tujhse kya gila karna,
Tu toh mohobbat azmane
se pehle he darr gayi.-
Khwaishon ka sar pe taaj liye,
Hum chalen hain maksad khas liye.
Kuch log sath dete hain kuch chod jate hain,
Hum toh chalte hain pankhon ko aazad kiye.-
Aksar tanhayi mein main,
Apne aap se batein kiya karta hoon.
Dil se dimag ki taaron ka,
Chemical locha kiya karta hoon.
-
Ek Kalakar Rangeen tha,
Ek Shayar Hassen tha
Woh Rangon ko Kagaz par Failate They,
Hum Shayari Se Mehfil Sajate They.
Dono Kalakar They,
Par Dono ki Fitrat Alag Si Thi.
Pyar tha Shayad ,
Ya Shayad Majburi Thi,
Par Dono ko Dosti Bahut Zaruri Thi.
Ek Rangon se Rangeen Tha,
Ek Shabdon Mein Haseen Tha.
Kuch Baat toh thi,
Ek Dusre Se Jo Keh Nahi Pate They.
Dilmein Rakhe, Apni Kala ke Khel se,
Ek Dusre Ke Nazdeek Woh Aate They.-
Kuch Apne se, Kuch Aap se
Woh Pyar ki Baatein.
Kuch Guftagoo Mein,
Kuch Apni Soch Mein ,
Apse Ikraar Ki Baatein.-
Matlab he Matlab ka Zaat Hota Hai,
Matlab Se Matlab Ijhaat Hota Hai.
Jo Bin Matlab bhi Apko Yaad Kare,
Woh he Insaan Pak Hota Hai.-
Pehle Log Sirf Shayar Kehte they,
Aaj hum Shayar Badnaam Ho Gaye...-