Badalon sa sir pe mere wo,
Chaya kar gaye.
Rota, bilakta chor mujhe,
Wo kahin gayab ho gaye.
Aur bada hisaab ka pata hai uss rab ko bhi,
Bakaya sab uss ke khate me likh Qayamat ki roz faisla kar gaye.-
Haath me kalam hai..Khanjar ki kya zarurat ?
Jab jaan le sak... read more
Na wazu na namaaz aata hai,
Meri duaa toh ho jaati qubool khud-ba-khud jab bakhuda wo
meri nazron ke saamne aata hai.-
Uth kar subah jo hata'ta tha parde to aati andar kirne thi dhoop teri,
Munasib sa pesh aaya baadal bhi aaj kuch iss zamane jaisa.
Gher kar aasmaan roka usne tujhe,
Aur aaj zaya hua fir ek dafa kisi ke intezaar me mera waqt yuhin.-
Mila toh nahi magar unke baare me pata zaroor hai.
Thikana ishq ka khoja nahi kabhi magar unke ghar ka pata hume pata zaroor hai.-
Jo reh kar saath sawaar na sake,
Ho kar khilaaf bhi kya hi bigaad lenge?-
Khud ke dushmann,
Samaaj ke dost bane firte ho.
Khud me nahi ho khush,
Aur apni khushi kisi aur me dhundte firte ho.-
Pairo tale kheech le zameen,
Ya zamane ka kaam munasib hai.
Dhoka jo na de pyaar me toh,
Toh mehboob tera khidmat-guzar hai.-
Likhta kahaniya meri mai,
Ya dhundta khud ko unhi kahaniyon me apni mai?
Baat fakat itni hai,
Shuru tujhse hoti wo khatm bhi tujhi pe hoti hai,
Ye kahaniya beshaq meri hai magar tu hi uska saar hai.-
Zindagi shayad kisi daud me aaj fir peeche choot rhi hai,
Ek shaam khushnuma aaj fir beet rhi hai,
Ek raat ghani aaj fir chadh rahi hai,
Aandhiyon ki san-sanahat aaj fir tez pakad rahi hai,
Dhalti ek din aaj fir beet rhi hai,
Shayad ek khamoshi kahi aaj bhi cheekh rhi hai,
Haan, Zindagi shayad kisi daud me aaj fir peeche choot rhi hai.
-