Gaurav Bhardwaj  
5 Followers · 10 Following

Joined 7 June 2018


Joined 7 June 2018
23 APR AT 15:28

Dharti pe kahin jannat hai to kashmir me
Yehi kaha tha na sabne ,usi jannat ko jahanum bana dia haivano ne
Hindu paida hue the kya itni hi galti kari thi un marne wale insano ne
Karte reh gaye hum log hindu muslim bhai chara unlogo ne sirf dharam pucha HINDU suna or jaan se maara
Jannat sa wo kashmir khoon se rang dia gaya
Band kardo ye jaatiwaad ka rona wo jaat ni dharam pe jaate hain
Par unka apna koi dharam ni jo khud ko atankwadi kehlate hain
Suna hai mene ki maar kar begunaho ko bola gaya ki ye to hindustaani kaafir the
Arey wo to bechare unjaan se kuch musafir the
Yun to pehle b begunaho ne jaane gawayi thi
Par iss baar maarne walo ne HINDU naam sunke goliyan chalayi thi
Aaj fir atankwadio k karan bohot logo k ankhen apnon k
liye bhar ayi hain.

-


30 NOV 2024 AT 9:27

Tum chahte ho mujse door hona ye kaisi majboori hai
Najane khuda ka har baar aise mujhe todna Kyu zaroori hai
Ab samajh nahi ata ki kismat kharab hai meri ya lagi kisi ki jo wo nazar buri hai
Tumne laakh koshishen karli dunia k aage khud ko bura dikhane ki
Par mene b ek na suni is zamaane ki
Tumaari sachai ko mujhse behtar kon samajh pata
Tumse pyaar na hota to tumare jaane ki baat karne par aankhon se yun paani nahi aata.

-


2 AUG 2024 AT 15:44

Tum logo se milke apna sa laga.
Kho chuka tha jeene ki umeed tumare saath to bura waqt b ek bura sapna sa laga.
Tum logo ne najane aisa kya jaadu kia tha ki me tumare apnepan pe khud ko kho dia .
Tumhe jab chodne ki baat ayi to sala me na chahte hue b ek kone me baithe baithe ro dia

Penned by:

ঔৣ गौरव࿐🔱

-


26 OCT 2019 AT 22:49

Likhne baitha bohot dino baad to fir unka chehra Saamne aya
Shayad yehi karn hai ki lafzo ne Kalam ko panne se milaya
Kafi samay k baad unse mulaqat jo ho gayi thi
Aisa laga jaise takleefen sari door hogai thi
Yun to din me udne wala parinda tha me
Magr kuch dino se adha adhura sa zinda tha me
Aaj fir Pura zinda hone ka ehsaas unke karn hua tha
Magr kise pata tha ki ye wo haseen pal hain jise Humne sirf
door se chua tha
Wapis hum khuda se wohi dua maang lia karte hain
Ki saath raho tum humesha q ki tumhe khone se hum
har pal darte hain
Ab Alam iss qadar hai ki zindagi ki sachai ko itne ache se
Jaan lia tha ki
Mila savera to raat ko apna Maan lia tha
Dikhi roshni to andhere ka saath hi acha hai ye thaan lia tha
Ho sakta hai meri kalam shayad mere lafzon ko bayaan karne
me asafal reh jaye
Magr ankhen padle koi meri to unki zuban sari sachai bayaan
kar jaye.

-


11 JUL 2019 AT 22:44

Musafir uss manzil ka hun me jiska koi asaan rasta nahi.
Yun to lakhon ki bheed k beech me khade hain hum magr kisi ek b chehre se humara koi wasta nahi.
Halat humari b ab uss phool jaisi hai jise sab apni zaroorat k anusar kisi b cheez se jod dete hain.
Waise to tareef karte hain uski khushbu ki lekin usi phool ko apni zaroorat k liye tod dete hain.
Saath dena kisi ka to bina kisi umeed k dena.
Q ki aksar log beech raste me haath Chhod dete hain.

-


24 MAY 2019 AT 19:03

Gair hote to hum doori has k seh jaate
Par apne hi aise nikle ki hum kisi se kuch keh b ni paate
Unko aaj b farak ni padta par hum aaj b unke baare me soche bina reh b ni paate
Log kasame khate the ki gazab hum logo ki yaari hai
Sab tut hi jaate hain ek din lagta hai aaj tutne ki meri baari hai
Girne pe unke roya me b tha gawah iski dunia sari hai
Jab tak saath the tum har bazi jeeta karta tha par aaj to humare rishte pe lagi baazi hi humne logo se haari hai
Tumari ehmiyat iss dilme itni khaas hai
Ki me hum hoke b tumse door tumare hi pass hai.
Ayega ek din jo tum aake gale laga loge bas ussi din ki to mujhe
aas hai .
Or agr na b ao to bas khush raho humesha ye humari upar wale
se ardaas hai .

-


19 MAR 2019 AT 20:47

Najane Kis baat ka khuda badla leta hai
Khushian aane hi wali hoti hain ki ek diwaar dukh ki wo khadi kar deta hai
Chahte hue b hum apna gum chupa na pate hain
Kambhakt zindagi k bare me likhne baitho to lafzo se pehle kagaz pe ansu gir jaate hain
Log padke uss Shayari ko pooch lete hain ki hum itna dard kahan se late hain
Ab kon samjhaye unhe ki hum to bas apni asliyat shabdo me kar sabko sunate hain.......

-


22 FEB 2019 AT 21:33

Nikalti thi wo ghar se khelne k liye
Kya pata tha ki ek din khud hi wo haiwaano ka khel ban jayegi
Itna lachaar kar denge wo us nanhi si pari ko ki wo kisi se keh b na payegi
Maar b dia tha use ye kitni be rehmi thi
Sunke ye baki ki b nanhi jaane bohot zada sehmi thi
Ghar se bahar niklana unke liye ab shraap lagta hai
Or aise haiwaan humare hi beech palte hain ye soch k iss samaaj me rehna b paap lagta hai.
Kal nirbhaya thi aaj asifa hai parson koi or hogi.
Jab tak kisi or ki behen ya beti k saath hota hai hum sirf candle jala kar ya ek din josh dikha kar tham jate hain.
Ab kahan hai wo aakrosh jo apki behen ko koi chede to nikalta hai
Najane q itna kuch hota hua dekh kar b ye samaaj q na Pighalta hai.
Har roz koi nayi ladki roti hogi, cheekti hogi apni izzat ki bheek mangti hogi.
Agr ye padke kisi ko bura laga ho to maaf karna or agr na laga ho apna dimaag saaf karna.
Gandagi ghar se shuru hoti hai bahar ki baat to baad ki hai.
Jis din ladki k liye khadne ki jagah uske saath khada hona seekh lega ye samaaj uss din ye darindagi khatam ho jayegi.
Or sehmi hui humari nanhi pariyan be khauf apne ghar se nikal payegi.

-


24 JAN 2019 AT 22:08

Sache pyaar k bare me likhne ko jab mujhse kisi ne kaha
To ek fauji k hi pyaar ki kahani thi mere pass sunane ko
Yun to najane kitne ladke the Magr uss ladki ko wo
fauji hi mila tha saath nibhane ko
Ye ek aisi mohobbat hai jo bohot zada pyaari lagti hai
zamaane ko
Jab jab wo apne ghar aata hai tab tab khushiya uss
ladki ki saath lata hai
Or wapis jaate waqt agli baar jald ane ki umeed
de jata hai.
Najane kitne kitne din bina baat kiye nikal jaate hain
Or jab ho bhi baat to zada kuch ek dusre se
na keh paate hain
Najane kahan se wo dono ek dusre se door reh kar bhi
itni himmat laate hain
Warna itni door hoke b wo apne sache pyaar k khatir
iss dunia k samne muskurate hain.
Isse zada sacha pyaar koi dhund le to mujhe b bata dena
Or agli baar koi b fauji mile to usse has kar gale zaroor laga lena.........

-


21 JAN 2019 AT 0:13

Kuch log zindagi me khaas ban jaate hain
Kuch wo hain jinko humesha hum apne saath khada paate hain
Ab ye to aap par hai janaab ki aap kaise rehte hain humare saath q ki hume apna dost maane walo k aankhon me ansu kabhi na aate hain.

-


Fetching Gaurav Bhardwaj Quotes