Gagan Ganna  
24 Followers · 30 Following

Joined 26 February 2018


Joined 26 February 2018
15 JUN 2023 AT 21:41

There is a constant battle between my heart and brain.
My heart tells me to do what is necessary for today,
And my brain demands me to work for the necessity of tomorrow.

-


5 JAN 2023 AT 18:24

Sab ka khushi se fasla bas ek kadam hai,
Har ghar main bas ek hi kamra kamm hai.

-Javed Akhtar

-


15 JUL 2022 AT 1:49

People pass throught our lives,
Some of them fade into memories,
But a few become a part of who you are.

-Kissing booth

-


30 DEC 2021 AT 1:56

कलम मेरी है, पर स्याही बन जज़्बात मेरे तू लिखती है,
किताब मेरी है, पर अल्फ़ाज़ बन पन्नों पर तू उतरती है!

-


14 NOV 2021 AT 21:27

Har shaam ki, ek raat jaruri hai,
Har raat ki, ek subah jaruri hai,
Har subah, ek ehsaas jaruri hai,
Aur, har ehsaas main jeena jaruri hai.

-


14 APR 2021 AT 23:49

Ek pinjre main hum kaid kyu hai?
Azadi aaj bhi ek brham kyu hai!
Kyu aaj bhi yaha khoobsurati ek dikhava hai?
Kyu aaj bhi yaha paison se hi khushiyaan hai?
Kyu aaj bhi yaha marna sabko manzoor hai?
Kyu aaj bhi yaha jeena itna mushkil hai!
Kyu aaj bhi yaha nibhaane se jyada dikhana jaruri hai?
Kyu aaj bhi yaha jeene se jyada kamana jaruri hai?
Kyu hum,hum nhi ban pate!
Kyu hum,iss duniya ki chamak main har baar khoo jaate?
Kyu iss pinjre main hum kaid hai?
Kyu azaadi aaj bhi ek bhram hai!

-


30 MAR 2021 AT 22:18

Bikhta yaha voh bhi hai jo dikhta nhi,
Baat jab paison ki ho toh jukhta yaha khuda bhi,
Keemat har saans ki hai yaha,
Bikhta aaj bhi imaan hai yaha,
Rishton se aajkal matlab nhi yaha,
Bas matlab se rishte hai yaha,
Naam dikhava hai yaha,
Kaam ka toh bas naam hai yaha,
Ishq hi paisa hai yaha,
aur paisa hi ishq hai yaha,
Har muskaan bikhti hai yaha,
Har shaqs bikhta hai yaha,
Har chehra bikhta hai yaha,
Ha yaha khuda bhi jukhta hai,
Jab paisa dikhta hai.

-


21 MAR 2021 AT 20:31

Subah ki roshni main sath tumhara hai,
Raat ke andhere fir se tujhe khone ka darr le aati hai,
Haqiqat toh aaj bhi yahi hai ki tu ek khwaab hai,
Par khwaab mere aaj bhi tujhe haqiqat samjhte hai.

-


9 DEC 2020 AT 20:22

Kehte hai zimedariyan khwahishon ko maar deti hai, fir vahi mari hui khwahishen ummedon ko dafna deti hai, fir vahi dafni hui umeedein khushiyon ka gala goth deti hai, aur fir yahi bikhri hui khushiyan zindagi main zeher gol deti hai........
toh kya ye kaha jaaye ki zimedariyan lena galat hai ya yu kaha jaaye ki khwahishen rakhna gunaah hai?

-


15 OCT 2020 AT 20:39

Kuch kisse unn kitabo main kahi ghum hai,
Kuch lafz unn alfazoo main kahi ghum hai,
Kuch hum iss duniya daari main kahi ghum hai,
Kuch hum uss bachpan ki yaadon main kahi ghum hai,
Kuch hum unn kahaniyon main kahi ghum hai,
Bahut saa hum hamare main hi kahi ghum hai,
Kabhi wakt mile toh dhundhna hai uss khoye hue hum ko,
Kabhi wakt mile toh rehna hai uss khoye hue hum main,
Ki yaar pata toh chale ki khoya kitna hai aur kitna paaya,
Ki hisab toh lagaye ki jeeya kitna hai aur kitna rooya..!

-


Fetching Gagan Ganna Quotes