Shuru kaha se karu baato ka silsila samj hi nahi aa raha,
Shabdo se kaise baya karu haalt koi rasta najar hi nahi aa raha.
Duriya hone lage ab na jane ku
Khud hi khud mai khone lagi hu mai jane ku,
kya hai ku hai kuch samj nahi aa raha
Shabdo ka ye silsila bas chalta hai ja raha
Pareshan hu andar hi andar
Dard mera bahar kise ko najar nahi aa raha
Ye jo man mai halla hai,vo juba se kaha nahi ja raha,
Bas ek Silsila hai jo chale ja raha ..
-
My writting is based on originality of life
Life is too short let's complete u... read more
Kahi Khushi ka mahol hai
Kahi Khushi mai bhi gam hai
Har kise ko apne khushi kam hai
Or dusro ki se bhut gam hai-
Mile the jab vo hmae to hame laga talash hmare pure ho gye ek sacche dost ko pane ki..
Par gajb ki bat hue unhone pal bhar me hmara veham dur kr diya-
Ek vajha hi kafi hoti hai
Rishte nibhane ko
Ek vajha hi kafi hoti hai dil kai tut jane ko.
Kuch vajha se koi batata nahi kise ko koi vajha .
Ek koshish hi kafi hoti hai ruthe ko manane ko.-
Kuch vaham ka tut jana hi accha
Kuch rishto ka छुट jana hi accha
Or kuch apno ka Ruth jana hi accha
Kuch logo se dur ho jana hi accha
Jhuti ummedai takleef bhut dete hai
Isse to khud ko samjhana hi accha-
Hazaron dard hai duniyan mai
Gam kis bat ka hai
Thora muskuraye janab
Yaha aasu bahana kis kam ka hai.-
Rahe aasmanon mai udte magar
Talash unhe bhi jmeen ki hi thi..
Udaan to vo bhrte the
Par pyari unhe jmeen bhi thi
Kudrat se mila tofa tha unhe udaan
Insano se mila vimanon ka inam
Rahe aasmanon mai .......
Talash unhe.......hi thi-
Mainai jindagi se paucha
Jindgi kaha hai tu?
Usne kaha mai to tere har pal mai hu
Tere har mai hu,tere jeet mai hu
Tere khushi m bhi hu ,tere gam mai bhi hu
Jaha tu hai vaha mai hu
Fir bhi pauchta hai jindgi kaha hai tu-
Mere najar se dekho
Tum aaj bhi mere liye vahi ho
Vakt badala hai
Halat badale hai
Par tumhere liye mere jajbat vahi hai
Mere najar se dekho
Aj bhi bachpan vali bat vahi hai-
Koi batata nahi
Par vo sehata bhut hai
Koi jatata nhi
Par dard use bhi bhut hai-