Sach kehta hoon kalam ke zariye, tohmatein nahi baandta kisi pe main.
Aaziyat me hai zindagi meri, be-wajah nahin deewana main.-
-Leo Tolstoy
Kuch log be-hayaii bade araam se, sar-e-aam
aur baar baar karte hain.
Aur phir apni isi be-hayaii ko, pyar ishq muhabbat
Zindagi aur khushi ka naam dete hain.-
Kasme, waade aur pyar me deewangi ke daave. Haa
Har kuch din me ek naye shaqs se karti hai phir yahi sab, yahi uski zindagi aur yahi uski aadat hain.-
Ek do nahi kayi naam hain. Uski
Dillagi se bhari kitab ke pannao pe
Becharepan ka aad, jhoot ki dukaan. Aur
Lagaye chehre kayi usne apne chehre pe-
Jalti hui lakdiya, pasri hui raakh
Girta hua aashiyana, toot te hue khwab
Kya karega furkhan! tu samet ke inhein.
Nahi tha usey basana ghar sang tere
Ek apna waqt guzar, kar tera istemaal
Jana tha usey phir aur kahin jeene.-
"Zameer na marne do logon! Ke
Qabr jism me hi banani hogi dafn karne".-
Kuch log aise milte hai zindagi mein!
Jinhe yaad karna bewakoofi,
Unke liye gham karna ya rona
Apne aap me badi na-insaafi hoti hain.-
Jinka zameer hota hai jab vo khudko aayne me dekhte hai to unhe apni shakhsiyat bhi nazar aati hain.
Jinka zameer nahi hota jab vo khudko aayne me dekhte hai to unhe bas apni soorat hi nazar aati hain.-
Muhabbat ka naam diye yeh awaargi me teri,
Haaye tauba! Aabroo bistar badalti gayi teri.-