افسانا
Mai Aik Afsana Likhnai Laga Hue
Barish Ki Buendo Mai Apnai Ansu Chupanai Laga Hue
Hal E Dil Nazar Na Aayai Kahi
Apnai Dard Ko Yuehi Seenai Mai Laga Hue
Mai Aik Fasana Likhnai Laga Hue
Dadkan Dil Ki Too Ruk Chuki Hai Kab Ki
Bs Uskai Paigam Ka Intizar Karnai Laga Hue
Haqqeqat Kai Sayai Sai Duer Kahi
Mai Apna Aik Ashiyana Bananai Laga Hue
Zindagi Ki Tapish Mai Khud Ko Jalanai Laga
Mai Khud Ko Tareekhiyo Mai Lai Janai Laga Hue
Suna Tha Khuwab Hotai Hai DilKash Par
Mai Too waha B Ruswa Honai Laga Hue
Mai Aik Afsana Likhnai Laga Hue
Ki
Abh Mai Ik Fasana Banai Laga Hue.
-
سکون کی تلاش ہے🥀
میکشي
Wahi MaiKashi
Wahi Tum
Wahi Mai Kadah
Wahi Hum
Wahi Bai Sukoon Si Zindagi
Aur Sarkashi Ka Alam Bi
Wahi Ranjh E Gham Sai Wafa Bi
Yahi Meri Halat Ki Saza Bi
Soozai Gham Ka Saaz Bi
Tu Merai Dil Kashi Ka Raaz Bi
Wahi Dard Mai Magroor Hum
Aur
Uski wajah Bi Tum-
MUDAT
Ik Mudat Huwi Hum Soyai Nahi
Muskurahat Sai Rabta Huwa Nahi
Dil Aghosh Mai Hum Khoyai Nahi
Teri Khushboo Sai Hum Mehkai Nahi
Teri Dhadkan Humnai Suni Nahi
Teri Ankho Ki Ronak Tak Dekhi Nahi
Tum Puchtai Hoo Haal Mera?
Suno
Hum Sadiyoo Sai Terai Huwai Nahi
Ik Mudat Huwi Hum Soyai Nahi
Hum Soyai Nahi
-
خواب
Mainai aik Khwab Likha tha
Apni Bebasi Ka Sawal Likha Tha
Unki Bai Rukhi Ka Anjam Likha Tha
Mainai ik Khwab Likha Tha
Yue Bai abiroo Hokai apnai Dil Ka Haal Likha Tha
Kuch Too Khayal Kartai
Mainai Hamara Woo Guzra Huwa Sath Likha Tha
Gairoo Ki Mehfil Pochai Gayai Joo Sawal
Mainai Un sawalo Ka Jawab Likha Tha
Umar Bhar Dil Ki Qask Mai
Mainai Tera Intizar Likha Tha
Mainai Ishq Ka Anjam Likha Tha
Mainai Ik Khwab Likha Tha.-
AZIYAT
Abh B Marham ki Talash Mai Hum
Unki Chokhat sai Guzartai Hai
Kabhi Too Nazar Padhai Unhai
Hum Too Unki Aahat ki Talash Mai rehtai Hai
Gham Nahi Hai Zindagi Chahai Jitna Aazmayai Meri Muhabat Koo
Bas Jab B Azmayai Hum Uski Yaad Mai Hoo
Dard E Dil Ka Gilla Nahi Karaigai
Jiss Aziyat Sai B Woo Guzarai Hamai Uss Aziyat Sai B Pyaar Hoo
Woo Chahai Nazar Uthayai Naa
Meri Takleef Ka Ilaj Karai Naa
Mujhai Tabh B usi Ka Intizaar Hai
Mujhai Tabh B ussi Sai Pyaar hai-
MAI KOON HUE
Aam Si Yai Zindagi
Aam Sai Yai Loogh Hai
Mujmai Kuch Khass Nahi
Aam Saa Hi Mai B hue
Sab Saa Hi Mehakta Hue
Sab Ki Tarah Hi Too Dikhta Hue
Taqabur Ki Baat Nahi
Mai B Too Zameen Ki Wahi Khakh Hue.
Mai Rang Nahi Bai Rang Hue
Khudsai Hi Too Mai Toota Hue.
Mai Zara Sa Madhoosh Sahi
Iradoo sai Pur Zoor Tha
Bas Bai Khudi Ka Hi kasoor Tha
Mai Bai Khouf Sa Qirdar Tha
Abh Zamanai Sa Hi Too Mai Aks Hue
Khudkai Hi Khatah Ka Mai Nisar Hue.
Mai Koon Tha
Abh
Mai Koon Hue.-
کشمیر
Gardish-E-Dastan Likhu Bi Too Kya Likhu
Qalam Too Hai Bhari Huwi
Qagaz Milai Hai Bikai Huwai
Tazah Hai Zakham Kayi
Unkai Khoon Sai Hi Dawat Bari
Abh Likhu Bi Too Kya Likhu
Yaha Zanjeerai Hai Har Taraf
Yaha Kai Hakim Bi Hai Bikai Huwai
Jinkai Lahoo Thai Kabhi Ubaal Mai
Woo Loogh Bi Abh Jukai Huwai
Yaha Too Aam Hai Abh Qatal-O-Garat
Kisi Ka Bhai Kisi Ka Beta Mara
Ansu Bi Unkai Abh Khushk Huwai
Bs Insaf Ki Talash Mai Har Darh Kai
Abh Thokar Khayai
Kashmir Mera Abh Khoon Sai Hai
Jehlum Barah
-
MARZ
Ki Marz Ko Mai Lapeat Kai
Mareez Sa Mai Hogaya
Yadoo Kai Iss Rough Mai
Faqeer Sa Mai Hogaya
Bai Khudi Kai Iss Qafas Mai
Bai Jaan Sa Mai Soo Gaya
Abh Dawah Bi Na Lagai Mujhai
La-Ilajh Sa Mai Hoogaya
-
BAI_WAJAH
Yai Batai
Yai Rastai
Yai Khushi
Aur Yai Udasi B
Yai Bin mangi Huwi Dil lagi
Yai Chahato Ki khamoshi
Yai Bin Mangai Huwai Ansu
Yai Bai wajah Si Yaadai
Yai Bin Mausam Ki Barishai
Yai Bagair Sukoon Ki Ratai
Tumharai Manand Hai....
Tum Badlai Hoo kya ?
Badalna Too Inka Hi Mizaj Hai-
BARISH
Yai Barish Ka Mausam
Badloo Sai Girtai Huwai Ansu
Dekhnai koo Sath kayi
Par
Iss beedh Mai Phr B Akaila Hue
Yue Sayai Saath Kayi
Par Phir Bi Mai Veeran Hue
Dil Kashi kai Iss Nafehmi Mai
Aj Phr Sai Mai Ruswa Huwa Hue
Mujai Gham E Ashiqi Ki Lat Si Lag gayi Hai Ki
Abh Mukurahat Ka Dikhawa B Kar Laita Hue
Kayi Manzar Hai Samnai
Kayi Abhi Baki Hai
Yai Manzilai Hai Meri Hi
Abh Bs Inhai Hi poora Karraha Hue....
Mai Bs Abh Yuhi Jee Raha Hue...
Mai Bs Yuhi Jee Raha Hue.....
-