Tujhse milne ko koshishein hazaar kare
Tu mahboob ho to kya hi tera biimaar kare
Usne thukraya hai to behtar hi hai shayad
Kon har roz khud ko nafasat se tayyaar kare
Aajaye ab daavat-naama-e-nikaah uska
Kam se kam yahi mere naam ki pukaar kare
Mehndi jachegi haathon pe is qadar mere
Ke hina ka kaam ab khun-e-dil-figaar kare-
Toofan se uljhe hain takalluf kya hi karein
Behtar hai ke mita dein yeh hawayein ishq ki
Zinda rah kar to kuch mukammal na hua
Meri maut mukammal kar dein yeh hawayein ishq ki-
Darmiyaan ka Ishq hai yeh sahab
Na doobte banta hai na tairte
Gar uski adayein kuch aisi kya kije
Na dekhte banta hai na marte-
Mauqe hazaar mile fayeda kya hai
Samajh na sake is dil ka qayeda kya hai-
Ek lamhe se azad kar doosre lamhe mein qaid kiya
Tumse har mulaqaat ki kahani kuch aisi hai-
Mukarna hai tujhe to zara ahiste mukar
Deewaron ke bhi kaan hain, zara khyaal to kar-
Gehre samandar mein jaise kuch kehna chaho
Mera bolna mujhe kuch is tarah ma'lum hota hai-
Sher kuch teri muskurahat par hain, kuch teri aankhon par
Yahi kuch cheezein hain tujhse churai maine-