Kab ayenge woh din
Jab Shaadi ke baad tum mere kehlaoge
Kab ayenge woh pal
Jab tum aur main sath mein bitaenge
Khush kaise hoon main kaise bataun
Woh toh meri aadat hai logon se has ke baat karne ki
Alhumdulillah π
Ameen π-
Na humne apko dekha
Na apne humein
Fir bhi yeh dil ke rishte Allah karam mehfooz hai
Na baat hoti hai na raabta
Fir bhi yeh ishq Allah ke Arsh mein Alhumdulillah azeez hai
Alhumdulillah π
Ameen π-
Bohot aas liye baithi hu tumhara
Ke palkon tale aansun chupe hai
Yeh mohabbat yeh ishq humara
Kuch aur nehi bas takdeer hai
Alhumdulillah π
Ameen π
-
Aur kitna intezaar karwaenge Allah
Humein, ke thak na jaye kabhi
Aur sabr bhi utna dijiye ke aap hasde humari mohabbat ko dekh ke abhi abhi...
Alhumdulillah π
Ameen π-
Intezaar hai apka
Kabtak dur rahoge
Chahat hai apse
Rab humari mohabbat amar kar de...
Alhumdulillah π
Ameen π-
Tumse ishq hai najane kabse
Aitbaar hai yakeen hai najane kabse
Har pal ki pehl tumse
Narazgi bhi tumse mohabbat bhi tumse
Bas aajao jaldi yahi kehni hai tumse
Alhumdulillah π
Ameen π-
Meri har sabr ki wajah sirf tu hai
Meri har aansoon ki aazmaish karne wala woh, jaha bhi hai dekh raha hai
Milade usse mere Rab
Batadu ishq kitni beshumaar hai..
Alhumdulillah π
Ameen π-
Mujhe us din ki khushi ka intezar hai jab baat pakki hogi..
Warna chahe Eid ki khushi ho ya kuch bhi celebrations..
Tumse badhkar kuch bhi nehi hai..
Bas Allah pe beshumaar vishwas hai ke meri khushnaseebi aur khushhaal zindagi wahi bana denge..
Alhumdulillah π
Ameen π-
Agar sabr karna itna hi asaan hota..
Toh Allah yunhi nehi bolte..
Ke mere bande tu sabr kar main tujhe sabkuch dunga..
Sabr apne aap hi ek bohot bada imtihaan hai..
Ameenπ-
Intezaar hai apka har lamha
Ke har ek intezaar ke boond mein
Likha hai naam apka
Aye mere Rab milade mujhe unse
Ke ishq humara mukammal hai is Jahan se Jannah tak ka
Alhumdulillah π
Ameen π-