Woh jo waqt tha, be-waqt sa tha,
Kabhi sahi, tou kabhi ghalat sa tha.
Woh jahaa tha, woh jahaan na tha,
kabhi khushi,tou kabhi dard sa tha.
-
Kaafi lambi chali thi guftagu,
Aur ek lamhe ne khamosh kardiya.
Hume khabar hui hi nahi,
Kab har lafz be-maa.ni kar gayaa.-
Nazar andaaz karte gaye andaaze nazar se,
Unke har andaaz par hamari nazar thi.-
Kuch main uske jaisa ho chuka tha,
Berukhi ka asar mujhme bhi ho chala tha.
Baat bas itni thi ki baat kuch thi nahi,
Raasta phir se manzil ko hone chala tha.-
Kiska kasoor tha, yaha kaun gunahgaar tha,
Har koi masoom tha, yaha kaun zimmedar tha.
Kiske sar rakhe ilzaam, kise be-gunah qarar de.
Har kisiko yaha khud pe sabse zyada aitbaar tha.-
Aaj phir dastak de rahi hai yaadein tumhari,
Aaj phir dil bechain hone ko chala hai.
Duaon me maange nahi qurbat ke lamhe,
Naa khwaishon me zikr furqat hua hai.-
Charaghon se uth raha dhua batati h dastaan raat ki,
Khamoshi se simti baatein sunati hai dastaan raat ki.-
Aa tujhe hifz karlu vaziifah ki tarah,
Ke tera qubool hona haq ho jae mera.-
Ibtidaa-e-ishq ka hona laazmi tha,
Ehsaas-e-zindagi k liye.
Abhi kuch varaq-e-dil baaki hai likhne,
Khatam kitaab k liye.-