Farhan Khan   (Farhan Khan)
514 Followers · 1.3k Following

read more
Joined 16 September 2017


read more
Joined 16 September 2017
3 MAR 2024 AT 21:23

Aakhir Aashiqo ko hasil kya hai kabhi karu main izhaar,
Toh kehte hai beshumar mili neymate tum ho na shukr guzaar,
Dekho mila hai kabhi na khatam hone waala intezaar,
Dusra hai tadap e deedar e yaar
Kai baar milta hai berukha sa pyaar
Mehboob rakib sang mukuraye toh siney pe waar,
Dil tooth jaaye toh mayasser nahi koi ghum khaar,
Hota kaha hai humso ka koi ilaaj
Kehte hai tum ishq ke ho bimaar
Kaha se laaye ab woh aab e kausar
Jo dey iss nakaam dil ko karaar....

-


11 NOV 2023 AT 22:35

Ghar ke darwaze pe main bhi jhumar sajaata
Patakho aur anaaroki roshni se sama jagmagata
Aaj Diwali hai issi bahane main bhi khushi manata
Kash ek Diya mera naam ka tu bhi jalata...

-


5 NOV 2023 AT 18:48

Jab sanam bewafa hojaata hai, teri hi bahoo main sahara milta hai...
Aey Urdu tu bas zubaa nahi, tujhse toh aqidat hai.....

-


27 JUN 2023 AT 22:09

Khuda ka daman thama ki tujhe bhool jau,
Phir tujhe mangliya jo khuda ke kareeb hua,
Khuda bhi kehne laga yeh mera bewafa banda sirf tera wafadar hua

-


26 JUN 2023 AT 16:46

Jo humare kuch nahi lagte wahi aksar humare sab kuch hote hai,
Humne dekhe hai kuch na lagne waalo ko ek dusre pe barbaad hote....

-


27 MAY 2023 AT 14:19

Woh baitha hai aankho ke samne par usse dil ki baat bata nahi sakta,
Rehta hai issi shehar main par khwabo ke siwa kahi mil nahi sakta,
Woh itna mera hai ki mere siwa kissi ka ho nahi sakta,
Ghum toh yeh hai ki woh mera hoker bhi mera ho nahi sakta..

-


28 JAN 2023 AT 22:02

Yaha toh sab ke dil main tu basta hai ILAHI,
Ek hum hi gunhagaar hai iss shehar e haram main
Dekha hai bikte kirdar mol koudi ke yaha,
Lekin ek hum hi badnaam hai is mohale main shareefo ke

-


12 NOV 2022 AT 14:12

Taaro ke timtimahat dekh kar chand ko tark karne waale aksar andhere main uski chandini se mehroom reh jaate hai .....

-


29 OCT 2022 AT 17:48

Koi aisa shor ho jo dil ki awazo ko khamosh kar jaaye,
Yeh hijr ke taal ko Teri muskurahat ki sargam main tabdeel kar jaaye...

-


23 OCT 2022 AT 15:22

Kabhi mazhab ki bediya bich agayi toh kabhi samaj kuch dayre laga gaya,
Kuch rishto ne dum ghoot diya toh kabhi ooch nich ka takaza darmeya agaya.
Jispe mazhab aur samaj ki buniyaad rakhi gayi woh Ishq pyaar mohabbat ka toh mol hi nahi raha,
Aashiq thai do jinki chahat ek fasana hi banke reh gaya....

-


Fetching Farhan Khan Quotes