Bohot Waqt Guzar Gaya Aj Likhe Hue,
Lekin Likhta Bhi Toh Kya Likhta?
Zindagi Ne Sabab Aise Diye,
Zakhm Bhari kitaab Likhne Baitha Toh,
Aj Yeh Kalam Bhi Roh Padha.
-
ā
In the depths of man's soul, a hidden ache,
Masked by smiles, the heartbreaks it can't shake.
Yearning for purpose, a constant quest,
Lost in a world, he tries his best.
Beneath the facade, emotions reside,
Struggling to escape, to be recognized.
In the shadows of pride, tears may fall,
The reality of a man, a silent call.-
I kept running away from darkness until I understood that in it I would find my freedom.
-
NAZM.
Hum raah mein baithe thoda haste the, muskurate the, aangan mein lete uske kisse sunaya karte the. Woh waqt guzar gaya ab yaad karke kabhi muskusra nahi paate. Aaj bhi wohi yaadein sabaa banke cehre se takra jaati hai. Tujhe toh yaad hoga tu rota tha, main tumhe apni godh mein sulata raha.
Lekin Kisi din toh bichadna muqaddar ki kitaab mein likhna tha. Kaisi najaat payi hai zindagi se, kisi ke khone se.
kabhi andar hi andar simat ta raha, bikharta raha. kabhi dil hasta raha, muskarata raha.
-
Main ne in havao ko apni raah badalte dekha hai,
khud ko Un lahero mein simat te dekha hai.
Musafir ban ke chala tha main chord kar sub kuch.
Ye nazaren mudi toh usse andhero mein ghut ghut kar rota dekha hai.-
Dil todh kar jana hi tha toh bata dete,
Aakho hi aakho se ishare kar dete,
Agar na kiya hota tune ye bewafai,
Toh is tarah hum khabar mein lete nahi rehte.-
Purani yaadein lekar aasu bahaya na kar,
Apni yaadon ko bhulaya bhi na kar.
Kya pata kal kis cheez se nawaze jaoge.
Kambakkht, ye khuda ki khudayi hai. Khud par kabhi aitbaar na kar.-
Kash us waqt tune uska haath tham liya hota, toh woh doobti nahi. Tu dariya par uska intezaar karna, Ab toh wo samandar ki ho chuki, uski lahare bhi Teri nahi.
-
Tumhara Humse Uns Hona Yun Toh Ek Moutjza Jaise Tha. Aye Mere Mehboob. In Labon Ko Muskurata Dekh Is Mohabbath Ki Fitoor Main Fanaa Hum Hogaye.
-
Najaane kyu ye khushi me dard mehsoos hota hai?
Jaane kyu is mukurahat ke peeche gham ka alam chupa huva hai?
jaane kyu hum saath hokar bhi ajnabi jaise hai?
Najaane kyu teri mohabbath me bhi tanha ye dil?
Najaane kyu teri chahat bhi adhoori si mehsoos ho rahi hai?
Najaane kyu phir bhi tujhe khone ka dar hamesha satata hai, tujhe Chane ka man ab bhi karta hai. jaane kyu teri thodi si mohabbath hi sahi, dil ko sukoon kar deti hai?
Najaane kyu?-