FaRaz Khan   (Falsafa-e-Faraz)
218 Followers · 131 Following

read more
Joined 17 July 2017


read more
Joined 17 July 2017
3 NOV 2022 AT 18:57

Khamoshiyon ka safar badhta chala gaya,
Bheed mein khada tanha reh gaya,,
Naa baat hui na javaab aaya koi,
Intezaar kar kar ke rishte ka
zawaal charh gaya,,

-


29 JUL 2022 AT 1:39

Mere alfaaz meri shayari se mell nahi khate,
Hum ishq karke kabhi ghar nahi jaate,,
Humaari khamoshi log samajh nahi paate,
Hum jazbaato ko kagaz par utaar nahi paate,,
Humari bechaini ka sukoon uske javaab mein hai,
Lekin humare sawaal usee raas nahi aate,,
Hum ladte hai choti choti baato par,
Lekin kya kare ek dusre ke bagair
hum reh bhi nahi paate,,
Hum ishq karke kabhi ghar nahi jaate…

-


20 JUL 2022 AT 23:59

Tumhara sath bhi mila tumse dil bhi laga
Tumhe yaad bhi kiya tumhara khwaab bhi dekha
Tumse mile bhi tumse roothe bhi
Tumse bichde bhi or tumhe mnaya bhi
Tumhari yaad mein dil ko jalaya bhi
Khaak bhi huye tumhare khatir
Fir tumse bichadkhar ye ehsaas bhi hua
Tumhare hi liye hum bane the or
tumhare hi khatir khud ko abaad bhi kiya
Tumhare baad ye dil kahi or na laga…
Tumhare baad ye dil kahi or na laga…

-


21 MAY 2022 AT 0:32

Thak gaye hai qalam likhte likhte,
Ye kaali siyaahi ab sukh kyu nahi jaati,,
Talqiyaan-e-moz.uu itne hai duniyaa mein,
Akhir humari baat faisle tak kyu nahi aati,,

-


10 APR 2022 AT 13:05

Soch soch kar jaan aadhi karta rehta hun,
wo kya soch rahi hogi bass yahi sochta rehta hun,,

Ayegi wo jab ek din mera bhi ayega,
Hastiyaa mit jayengii jab labo uske zikr mera ayega,,

Chahta hun dekhna usee zawaal se paree,
Bass isi tuktaan mein waqt mera reh jyega,,

Samandaro mein kashtiyaa doob rahi hongi,
Asmaan se ye neela parda chhatth jayega,,

Ayegi wo ek roshni jab sab tahes nehes ho jayega,
Usii roshni mein mujhe uska fir chehra nazar ayega,,

Chalaunga mein qalam jab likhni uski tareef,
Zulfe uski udengi or mera sher khud ba khud bann jayega,,

-


22 JAN 2022 AT 21:03

Har safar ki ek manzil tay hoti hai,
Ab humare yaha bhi thand dilli si hoti hai,,

-


25 DEC 2021 AT 13:11

Ye December akhiri hai
Ab ye dil e bazaar nahi lagega
Ab ye dil fir kisi ke liye bekaraar nahi hoga
Ab hum kisi naye chehre se mulaqat nahi karenge
Ab fir ye ankhein kisi ka intezaar nahi krengi
Ab humare qadam kisi ki orr na badenge
Ab ye raate kisi hijr ki talaash nahi krengi
Ab ye fizayee kisi ke husn se na mehkengi
Ab ye lehre samandar ki gulaami nahi karengi
Ab ye mosam hawaoo se na badlenge
Ab ye chaand khobsoorti ki nishaani nahi rahega
Ab ye jugnoo raato ka na chamkenge
Ab ye qalam kisi ki madah sarayi na karega
Ab wo shaqs falsafa-e-faraz ki shayari nahi padega,,

-


22 DEC 2021 AT 21:12

Kon kehta hai aankhein bola nahi karti,
Kon kehta hai ki bolne se sab sahi ho jaata hai,,

Zindagi bhi lagaa du chalne mein to kya fayeda,
Meri ummid-e-manzil se tera hi ghar nazar aata hai,,

-


4 DEC 2021 AT 13:24

Uss haadse ke baad fir wo shaqs badal gaya,
Duniya se ladke bhi kab wo apne ghar gaya,,

Aadat thi uski aksar apno se rooth jaane ki,
Usee manaate manaate wo khud ko bhul gaya,,

Ek waqt laga lekin usee apna ishq mil gaya,
‘Saab’ apna ishq paane ke chakkar mein wo
‘Shayar’ shayari bhul gaya,,

-


22 SEP 2021 AT 21:23

Na rulaya gaya na gawaya gaya,
Jo sabse azeez tha usi se sataya gaya,,

-


Fetching FaRaz Khan Quotes