Kya noor sa chaya hai gais-u-e yaar pai
choudhwi ke chaand si rangat aaj hai
Is khush mizaj lehje ki kya baat mai karu
Mehka diya saare chaman ko aaj hai
Kuch Hashr Tou hoga Khizaan ka ab talak
Baras rahi kooy-e yaar mai
Abre bahar aaj hai
Keh do bedam si taqreer karne waloon sai
Jaane-bahaar har baat main dam bhar gaya aaj hai
© Farah Zaidi-
From Kupwara Kash... read more
Koi keh gaya ye asar hai kya
Maine keh diya usne rang diya
Mujhe dard de ga kya ye zamaa'n
Mere dard sab wo mitaa gaya
Koi jo mujh sai pooche wo tera hai kya
Tou jawaab doon mujh mai main kahaan-
Tum baatein hi bas karte rahe
Wo har baat main dam bharta gaya
Tum jhooti tasali dete hi rahe
Wo har sapna sach karta gaya
Tumne ilzaamon main dhuboya tha
Wo junoon sai dil ko bharta gaya
Tum aatish hi ugalte thai aksar
Wo har kadwi yaad ko mitaata gaya
Tumse apne-pan ki talab hi rahi
Wo mujhe apna aks banata gaya
~Farah Zaidi
-
🔹Being Just There
In this Awfully Busy World of
Pretentious People
I am Mesmerised to see You
Always Available for Anyone Anytime....
🔹 Being Just You
In this Covertly world full of
Camouflaged Folks
I am Amazed to
see you so Overtly Being You
~Farah Zaidi
-
Chali thi soch kar ki sab
talkhiyaan mita doo'n gi
Har kadwahat chupa loon gi
Ussai phir sai sadaa doon gi
Purane dard bhula doon gi
Nayi yaadein bana loon gi
Aik muddat ke baad
Pohnchi jo us ke paas
tou maaloom ho gaya
Is qadar ussai apni anaa pasand thi
Ki phir kar gaya taskeen wo apne mizaaj ki
Lehje ki tez dhaar sai usne aisa sabk diya
zakhmi sai mere dil ko teergi se bhar diya
Aisa hua asar uske talkh kalaam ka
Main dang reh gayi, Main sang hogayi...
© Farah Zaidi
-
You see I cherish this weirdly
beautiful relation of us
I smile while crying in its currents
remembering all that was...
And it's nowhere now but in memories
You see I feel grateful
for you've given me ample space
For keeping nothing but memories...
So many tormenting memories..
-
While he carelessly looks away
My eyes search for something lost...
Something I often yearn for....
Something that I belonged to
We no more talk like dears
I don't sit infront of him like his reflection
I stand like a subject
Whose past lingers, still and fresh
Along always like a dark shadow
Reminding over and again
Of breaches! So many of them...
He never forgave
And I can not forget...-
Tum kitne zulm dhaao gai
Tum kya kya harbe apnaao gai
Humein jaan lo tum!
Pehchaan lo tum!
Hum Datt kai Maqaabil hain har dam
Tum Karte raho chahe kitne hi sitam!
Ye fareb ki chaadar odhe tum
Nahaq logoon ko sataao gai kab tak!
Hum tod kai tumhari har saazish
Yoon Zulm-o-sitam sai ubhrein gai
Tumhe ruswa karke batlaayein gai
Tumhe phir sai shikast de jaayein gai-
Mere jahaan hai aisa
Koi aa kai dekhe kaisa
so bhi na paata hoon
Ro bhi na paata hoon
Ki koi baat hai chupi hui
Mere lab pai yoon ruki hui
Dar sai hai Nazar Jhuki hui
Ki touheen-e muhabbat na hojaye
Kaheen teri hi shikayat na ho jaaye-
Ya Rab na samjhe hain.
Wo kyun na samjhen hain meri baat!
Meri aajzi ko dekh
Dai mujhko hi zabaan aur
Jo na de sake hai unko tu dil aur-