Bekaar hai jaana sab bekaar
tum sai aas lagana tum ko paas bulana
Qissai sunaa kar tumko yoonhi rulaana
bekaar hai jaana sab bekaar
sirhaane baith kar tumko louri sunana
apni neendei uda kar tumko sulaana
-
From Kupwara Kash... read more
Dekha hai tum nai mujh ko kuch itne qareeb sai
Sab khaamiyon kai baad bhi main khoob lagti hoon
-
sab sai haseen tasveer ho
mere khwabon ki tabeer ho
kitni komal , kitni pyaari
kitni sheetal sab sai nyaari
koi na bhooje wo paheli ho
maa'n tum meri saheli ho
kabhi nahi tum mujh sai juda
tumhi hamsafar tumi humnawa
~ Farah Zaidi
-
قدرت نے عنایت کی انسان پر
عطا کیا پانی اس زمین پر
تقسیم ہے دریاؤں میں اِدھر اُدھر.
بہتا ہے ندی نالوں میں کس قدر
پینے، دھونے اور صفائ میں کام آیے یہ
ہے ضروری ہر جگہ، ہر جائ یہ
اس کی اہمیت سے انسان بےزار ہے
پانی کی ہی جنگ آد پاد ہے
© فرح ذیدی
-
Thandi hawaon sai
jism thartharayein
Behti rahe naak aur
ankhein phadpadaayein
Daanton tale hum
ungliyaan chabaayein
bachon kai kaise
gaal laal hojaayein
Bohat ho gaya thand ka zor ab aao
Baharo baharo ab aa bhi jaao
-
Ye jahaan muskuraaye
Taaron ko neend aaye
Sab naale gungunayaayein...-
Chalo poochein
raat ki madhoshi sai
Is siyaahi ki khaamoshi sai
Koi meri neendein udaata hai kyun
Sitaaron ko har raat chaand sai
chupke sai koi milata hai kyun
Phir shabnum ke qatron mai
moti sa ban kar
gulon ko wo khikhilaata hai kyun
Hawa sai khushboo ko chaarsoo
Phaila phaila kar mehkaata hai kyun
Kaheen rim jhim ki khanak main wo
Kabhi boond boond ki chamak mai wo
Yoon Baras baras kar sataata hai kyun
Wo aa jaaye kabhi saamne
Hum mitaa dein sab faasle
Shabnum sai moti ko ik dam chura kar
Aanchal main apne chupaalein
-
Kabhi jabeen sai rounakein pinhaa'n
Kabhi labon sai mai rawaa'n
Kabhi nighaon sai kuch rounma
Kabhi hazaaron raaz bayaan
Kabhi hai dil ki dhadak dhadak
Kabhi hai aqal ki kya jhalak
Wo aaye jab bhi humare soo
Sitaare jagmagayein chaar soo
-
Tujh ko hai jaana kya gumaa'n
kahaan na paaye Tere nishaan
Wo gulon main tu muskuraye
Falak kai rang main tu itraaye
Idhar chandni ki chamak main tu
Udhar aftaab ki dhanak main tu
Waa'n rango-boo main hawaa main tu
Yaa'n aas paas ki fazaa main tu
Tera ehsaas hai har kaam main
Tu aaye nazar subho shaam main
Kaheen zahidon ki arz main tu
Kabhi taayaron ki taraz main tu
Jidhar main dekhoon udhar hai tu
Tu hi bata kidhar nahi hai tu
-
For he could never smell the scars in her words
unnoticed went the sudden uttered phrases
Never did he hear the wailing and howling
in the dark hours of her journey
through the memory lanes
For his attention was only caught
by her curled, smoky, long lashes
that she deliberately doused in mascara
to hold the tiny droplets from oozing through
those two twinkling sapphires
tainting the lids with blues and greys
she beautifully smudged the fiddly
mysteries of, what's now, in memories....
Deep inside she always wanted
to unravel all before him and ease her burdens
But he would get immersed in
the darkness of her tresses
She would also give in and forget about
the bruised her, under the one
his hands rubbed and probed.....
©Farah Zaidi
-