Sab khafa hai mere lehze se
Mere halaat se koi waqif nahi
Me khud hi gawah hu khud par
Meri zaat ka koi mudarif nahi-
Mili jo nazre ittefakan
Hua uska nuksaan bohot tha
Wo ayine me khada shakhs
Dikha mujhko pareshan bohot tha-
Wo sham
wo yaaden
wo jamna ka kinara
Ek kahani mere ishq ki
Adhuri reh gayi
Wo intzaar
Fir mulakat
Aur ek tera sahara
Meri saansen bhi wahi
Basi reh gayi-
Kuchh naye wado ke khyalon me kho jana
Acha nahi hota
Do pal ki mulakat me hi kisi aur ka ho jana
Acha nahi hota-
Dil ki baat Dil me rakhne ki saza dekhenge
Ham hota tujhe kisi gair ka dekhenge
Hoga na khatm ye Ishq ka dor kabhi
Ham umr bhar tera intezar dekhenge-
Jo uljhi thi zindagi kabhi
Ab usko suljhane me laga hu
Bhulaya tha sab kuch kabhi
Ab usko bhulane me laga hu-
Kuch to abhi bhi raha hoga wajood mera...
Tere ishq me yun zaya ho jane ke baad...
Chalo to fir milna tum hamse bhi kabhi...
Zindagi me kuch naya ho jane ke baad...-
Ye un dino ki baat hai
Haar baat unki khas thi
Har ada me kuch tha naya
Har seh unke paas thi-
Zikr chide jo kabhi tera
Me tujhko gair bata deta hu
Gar puchhe Haal-e-Dil mere
Me koi sher suna deta hu-
Guzri hui tere sath ki har sham
Mujhe yaad hai abhi
Kese hue the ham khas se aam
Mujhe yaad hai abhi
Hosh bhi tha hame aur
Madhoshi ka bhi alam tha
Kuch is tarhan pilaya tha tune jaam
Mujhe yaad hai abhi
Sambhal sambhal kar rakha tha
Mohobbat me har kadam usne
Aur kis tarhan hue the sirf ham badnaam
Mujhe yaad hai abhi-