Taka hai to tek,
Warna tukur tukur dekh-
That's all.
Aye zar, tu beshak kuch bhi nahi.
Aye zar tu beshak kuchh bhi nahii.
Lekin baad e khuda, tu sab kuch hai.-
Quran k hote hue bhi Preshan hain Insaan,
aur yahi kissa dekh k khush hain Shaitaan-
Ba-waqt rozi, be-khayal sote ho.
kaza namaazon me risk ka sawaal krte ho..
tum bhi kamaal krte ho.-
Jo tum na aai, ek aur shaam bhi tal gai.
Intezar me baithe, ye saal bhi badal gai.
Badle to hm bhi bahot tere pyaar me .
Itna K Sab kuch naya lage hai sansar me.
-
Mili thi zaher jo hawa me,,
Wo ab saans me hai.
Zayaa ho rhi zindagiyan yuhin,
Zindagi to ab Aas me hai.
Salamat rahe insaniyat kamaskam,
Yehi ab dua-e-Khaas me hai.
-
Milegi shifaa is wabaa se ek din,
Gulzaar hongi fizaa ye fir se,
Yakee'n Rab per, parhez sab se.
Gair zaroori na niklen ghar se.
-
Wo palakon pr aaye chand katron se ghabra gaye.
Aur hum Dil mein darya dabaye baithe the !-
Meri baat ban gai hai ,
teri baat krte krte.
Tere ishq ki badaulat mujhe zindagi mili hai ,
Mere pass bhi hai aai, meri maut darte darte.
-
Mar chuka hai dil ,magar zinda hun main,
zaher jaise dawa chahiye .
Puchte hain aap k "aap achche to hain".
Haan main Achcha hun, dua chahiye
(Jaun Eliya)-