Musafir jo safar me haste chale gaye
Jawani ki ghaflato me dhalte chale gaye
Behti hoyi kashti ko Kinare ki talab jo ho
Dastoor ye banta h k chalte chale gaye
Khoob maloom h ose manzil ka ptaa yaaro
Akhiri manzil tak jo musafir chalte chle gaye
Jb kashti bhi ho khali samundar bhi shant ho
Khoya jinhone apno kia osi ki ehsaas h
Nadia na Dariya na samandar ki talaash ho
Bhatka jo musafir bhatakte chale gaye
Ehsase naummidi namumkin sa Lage jo
Har baar ki mashakkat me dhalte chale gaye
Gar Kirdaar tejarati hoshiyar Bahot hen
Har baar hi ghaflato me machalte chale gaye
-
“Hame maloom to h jana kaha hai
Kisi ki kiya zarurat aan padi hai
Tmhe hargizz pta maloom na ho kaise
Akhiri anjaam tak sabhi ko jana hai”
-
Jise jo chahe kare matlab kiya,
Adaab-e-zindagi ka maksad kiya,
Pardahnashi ko zillat kiya,
Gar pardah kare to zulm kiya.
Jo tohamat lagi thi unpe wo hataya Kisne,
Na ummid thi na tb bharosa tha onhe,
Na sakoon thi Or na sahara tha onhe,
Kabhi satayi gayi to kabhi ruswaa kiya,
Kabhi jalayi gayi to kabhi dafna diya.
Wo maa behan biwi or Beti Ki azmat batayi kisne,
K wo Taur tarika tahzib samjhayi kisne,
Tmhe Paakizgi sikhayi or Tmhe izzat dialayii kisne.!
Be pardah ho abroo wo izzat ka,
Na parwah ho ahmiyat husn ka,
K kuch ehsaas tujhme hai ki nahi.
Na khair tujhe is jahaa ki,
“OR”
Na khauf tujhe us jahaa ka.
K wo jazzbaat tujhme Hai ki nahi.
Baithe hai janwar chuk me,
Bane hamsaye rah me,
Mauka mile na bakshega,
Bedardi ka mansab barpega.
Gar chere koi phir shiqayat to hai,
Par pehle koi Hidayat to le.
Na hongi maloom Tmhe,
Har zarre ko maloom Tum.
Hai ekhteyaar tujhe tu kar teri marzi,
Kia khuda ka Khuoff tujhme hai ki nahi.
-
Adatan!
Izzat-o-Abro Benakab hi sahi,
U Musafiroon se pardah kaisa.
Beparwah-wo-Bepardah hi sahi,
U Zauk-o-Shauk me Behayayee kaisa.
Zinda Dili Ehsas-Se-Zindagi hi sahi,
U aam jalwa-e-husn ka husn-faroshi kaisa.
-
Baat nikli h to kuch bata-ta chalu,
Mere hisSe ki Kami ko mita-ta chalu.
Mila-taa chalun Mita-taa chalun,
Lafxoon ki hade girata Chalun
Onhi lamhon ko lafxon me pirota chalun,
Kisi ne gham diye or kisi ne diye zakhm,
Koi khushi Se mila or kisi ne kiye ankhe nam,
Har mushkilon Se ghiraa wo bechare ham,
Chalun aage mushkil badhi ja rahi h,
Ghari kase q ruki ja rahi h,
Kismat ka khel Haare ham jeete baaki
Na arzoo h ab kuch na jaan rahi baaki
K ab bhi manzil ki Adhoori raah h baaki
Mere dil me lagi dagh ab hata-ta chalun
Apni kashti ko inme duboutaa chalun.
Kafas ki jaliyaan gira-ta chalun,
Chalun k haal-dil Bhula-ta chalu.
Chalu jo aage jhaan or bhi hai,
Nasib me hai jo likkha ose Mila-ta Chalun.
Sakht anjam garr ho to ghabrana kaisa,
Milen jo har haal mushkil onhe Aaz-mata chalun.
Mujhe na gham h na shikwa gila koi
Zinda hun Mai aaj bhi mraa hun Thori.
Mujhe jo yaad aao muskura-ta chalun.
Mujhe jo yaad aao muskura-ta chalun !-
Basti jali wadi me,
Nayi ummid na milegiii Shayad ,
Aag lagi hai to jalegii Shayad.
Simat kr reh gya koi,
Lipat kar kambbalon me koi,
Bache jo khaak Se werna,
Sisak kar reh gya koi.
Bachi jo jaan baki jism me,
Har taklif jo kati jism ne,
Ab na murkar dekh jo ghuzar gya so ghuzar gya,
Nayi manzil ijaad kar dariya ko mor manzil talaash kar.
Mumkin h sambhal na paigaa,muskil h ghuzar na paiga,
Khudi par bharosa rkh manzil nazar aaiga.
Khudi par bharosa rakh manzil nazar aiga!!!!!!
-
“Never beg someone to hold your hand
Just Shake your hand harder,move on”-
Kuch khaas tamanna na thi,U Tamashaa na banao mera.
Banake bhool jana thik hai ,K nibhana kuch khaas na tha.
Kafas ki jaliyion ko dekha,Kharabi khud me hi payi
Samabhala haale dil ye jaan lo ,Samajhdari tabhi ayi.
-