Faisal Tamboli  
700 Followers · 1.4k Following

*Write with some experience and more imagination...
Instagram : @yours_faisal
Joined 2 August 2018


*Write with some experience and more imagination...
Instagram : @yours_faisal
Joined 2 August 2018
27 OCT 2023 AT 14:54

Suno ek gazal kahni hai
Saath kuch der thehrogi kya

Kuch baat tumhari karni hai
Tum baat mujhse karogi kya

Tumhe phir se manana hai
Aur ek baar mujhse ladogi kya

Tum aaogi kya kahne mujhe alvida
Phir mujhe jaane se mana karogi kya

Tum wo chai ki pyali se
Aur ek ghunt bharogi kya

khawabo ki ek duniya hai jaana
Hamsafar hamkadam chalogi kya

Pade hai hazar adhure misre
Mujhko shayer karogi kya

Tum ho hazar sitaro me tanha
Mujhko badal karogi kya

-


27 OCT 2023 AT 14:38

Tum saath ho na kaafi hai
Har baar ho na kaafi hai
Tamanna nhi saahil ki
Aas paas ho na kaafi hai

-


27 OCT 2023 AT 14:32

Barkha barish barsaat hoo kya
Lafzo me uljha insan hoo kya
Har dard ki dawa chahiye tumhe
Maa ka sar pe haath hoo kya

Khushbu li, gale me daala, aur bass
Wo laal Peele hare gulab hoo kya
Kya Sau feesad sach sunna hai tumhe
Netao ki zabaan hoo kya

Uske sawalo ka jawab hoo kya
ahsaas hoo anjaam hoo Khwab hoo kya
Sirf Aankh lagi hai mai soya nhi hoo
Uski aawaz ka intezar hoo kya

Patthar se Tut jaaye wo seesha hoo
Phoonk se bujh jaaye wo aag hoo kya
Kya! bahot tez jaana hai 
Hafte ka itwar hoo kya

Hazaro gum leke chahre pe hasi
Gareeb baccho ka baap hoo kya

-


7 MAR 2023 AT 19:46

ye muskan ki chamkan mat puchna
batadu to imkaan mat puchna
puchna wo, jo puchte the wo
Khayal puchna mera haal puchna...

-


2 JAN 2023 AT 14:43


jaate jaate wo ek ahsaas de gaya
ye saal kuch ashkhaas khaas de gaya
de gaya kuch purani chaviya bhi
kuch tale bahot nayab de gaya

-


1 NOV 2022 AT 13:24

हा, वो मैं ही हूं जो रास्ते से भटक जाता हूं
ख्वाबो में कहीं अटक जाता हूं
संभालना तो चाहता हूं खुदको
बातो में उसके फिर बहक जाता हूं

-


15 AUG 2022 AT 18:24

Jo kahte hum sab ek hai
ek hoke bhi anek hai
to kaisa ye batwara hai
hissa kuch mera, kuch tumhara hai

Aazaadi ke gun gaane wale
bhool gaye qurbani ko
un jaano ko un laasho ko
chalti rukti saanso ko
Jaliyan ki khooni galiyo ko
marte un budho baccho ko
bhagat sukh ke chahero ko
gardan me pade un phando ko
yaad karo us gandhi ko
talwar se tez dandi ko

Kyu mohani mandi yaad nahi
Kyu Tipu tum ko chubhta hai
Nathu ke gun kyu gaate ho
qaatil ka chahra dhundla hai

Kyu "ganga jumuni" mai hi karu
tum bhi to aage chal aao
Le aaye ghar ghar ko tiranga
har ghar mohabbat le aao

-


1 JUL 2022 AT 12:58

Kisi ko doshi batana aasan hai
Are wo khuda nahi insaan hai
Jaan bachana uski koshish hai
Jaan dena uske bass ke paar hai
Wo khuda ka roop ho sakta hai
Per wo khuda nahi insan hai

-


30 JUN 2022 AT 21:59

If you do, definitely will be done









-


6 FEB 2022 AT 22:57

MERI MAA
aayena kya baya kare khubsurti meri
meri Maa ka pyara kahna kaafi hai

wo hai to hai duniya ki sab raunaqe
bin uske jeena, nabina lagta hai

usi se barkate usi se shafkat deta hai
Khuda zariye se uske jannat deta hai

uske aanchal me, mai mahfooz hoo bilkul
usse bichdu to mera hasna, rona lagta hai

-


Fetching Faisal Tamboli Quotes