Kitaab-e-waqt roz-roz panne kya badalne lagi
Ke ek din ja kar hume apni zindagi hi khalne lagi.....!-
➡️Jis fan main mahir they usi ki taskii.n ki
Khud ko shayar kaha Shayron ki toh... read more
As we all know, we are going through a tough situation named Coronavirus.
Those who've got money in their accounts can spend months in their homes without a problem!! Although a huge part of our population still lives by earning daily wages.
It's a request to all those who are capable of helping someone in need. Share as much as you can, don't be selfish! Look out for all those around you! It doesn't matter how much you can do! The only thing that matters is that you do something!
Remember: Kafan main jeb nhi aur chita main khaakh ke siwa kuch nhi bachta-
Naye bharat main deshbhakti ki koi charam seema nhi
Naya bharat 'Vande mataram' ‘Bharat Mata ki jai’ ke naare lagata hai
Aur usi maa ki betiyon ko ghasit'ta hai Unke sar fodta hai
Lafz ke kuch hukook hote hai
Dil se manne aur cheekhne main fark hota hai Jisey samjhna jaruri hai......!-
Aag ki laptein tabhi tak khoobsurat lagti hai
Jab tak ke woh apne ghar ki chhat par na lagi ho......!-
Nikal pada tha lashkar liye takraane haqq ki lalkaar se
Kitna bujdil qafila tha akhir darr gaya nihatthe ashaar se.....!-
Kahi Jashn main doob gayi raatein toh kahi qafila-e-khayaal main dooba
Unn charaago ke bujhne ka malaal bhi hai lekin jo guzre saal main dooba......!
-
सत्ता के लिए राजतंत्र से लेकर लोकतंत्र तक
जनता की आहुति
दी जाती रही हैं दी जाती रहेगी........!
-
Teri nazar main sabse bada deshdrohi Kon hai.....?
News channels
Q......?
Unhe India se jayada Pakistan main interest hai
Kaise.......?
Apni GDP gir rahi hai lekin jinki pehle se hi giri huyi hai
Ye unki giri giri harkatein dikhate hai.....!-
Teri nazar main sabse bada deshdrohi Kon hai.....?
News channels
Q......?
Unhe India se jayada Pakistan main interest hai
Kaise.......?
Yaha pyaaz 120 rupey kilo hai lekin unhe waha ke tamatar ke daam ki padi hai.....!
-
Ek Mulk ko tabaah Karne ko barood jaruri nhi
Waha ke ilmi idaaron-kitabon ki keematein badha do
Unhe firko main baanton unhe fark samjha do
Dillon main nafratein bo kar insaniyat ko mita do
nasl ko nashe ki lat main dooba do
Shaukh ko sasta muhaiyya Kara do
Unki ankhon ko behayayi dikhao
Lahu ko paani....dil ko bujdil bana do
Fir koi Awaaz-e-haqq ko sar uthayega nhi
Na karanti ayegi koi zulm se koi takrayega nhi......!
-