Waqt ka sitam dekhiye,
Woh yun hi badal gaya.
Khud garj woh itna hua,
Humein wahin chhor gaya.-
Woh mujarad raatein hai
Mein hoon jiska musafir.
Khuda ushka ishq hai,
Aur meri zaat hai kafir.-
Garaj ke band ho gayi,
Ushke ishq ki dastan wahin.
Chamakta apna ishq aaj bhi hai,
Reh gaye teri kahani me adhure kahin.-
Tanha raaton me jalta rehta
Ek chiraag ke jaisa.
Thak gaya hoon me duniya se,
Khatm ho jaunga pighal kar kabhi moum jaisa.-
Kaisi shikayat chandni raaton se,
Khayalat ban beithe nind ke dusman.
Jaagta rahan puri raat,
Dekhe khwab jo tere sanam.-
Sukoon na mili arafaton se,
Rahatein kis jamane mein.
Jo nind aayi ijtiraan se,
Woh bhi aayi teri yaad ki chhaon mein.-
Khwahis hai meri tujhe apna banau
Tere sar pe bindi,
Ankhon me kajal lagaun
Khwahis hai meri tujhe apna banau.
Haathon mein mehendi
Pairon me payal sajaun
Khwahis hai meri tujhe apna banau.-
Dariya-e-ishq me sukhi hai,
Zameen humari.
Uth jati hai hath duaon mein,
Jab sajdon mein yaad aati hai tumhari.-
Dill jab kahin sukun na paye,
Hume unki yaad aaye.
Jab koi pyar se bulaye,
Hume unki yaad aaye.
Khwahisein hai abhi adhuri,
Na hum miley, na tum aaye.-
Ehasas-e-dill aankhon se bayan karta hoon
Lafzon ki jarurat nahi.
Har bar tujhe khayalon se chhu leta hoon
Kya hua agar tu mere sath nahi.-