Suno baatein batau tumhe do chaar
Thoda waqt pe kar lena ikhtiyar
Lad lad ke ab halaat se khuda kasam
Thak gaya hu yaar...
Ek taraf to dariya hai khushiyo ka
Dusri taraf ye dukh hai beshumaar
Kabhi sukun ki nind in palko pe aa jaye
Tabah krne ko bechaini rehti hai taiyaar
Lad lad ke ab halaat se khuda kasam
Thak gaya hu yaar...
Sochta hu kal behtar hoga,
Sochta hu kuch to marzi jaisa kehkar hoga
Sochta hu pyar hoga khushi hogi
Sochta hu sab ki hogi bharmaar
Sochte sochte bas hosh ata hai
Ab tak kuch nahi hai taiyaar
Lad lad ke ab halaat se khuda kasam
Thak gaya hu yaar...
-
Ankhe jo kabhi, meri dastaan sunegi
Khud ko na behne se rok sakegi
Kaise maine khoya paa ne se pehle
Zubaan kaanpegi, na kuch bol sakegi
Wo dil ka tadapna hotho ka sisakna
Wo kehna kitna kuch par bas jhijhakna
Wo guzre andhere wo gehre se pehre
Jo lagte the apne wo dushman se chehre
Royegi nigah par kuch na bhul sakegi
Zubaan kaanpegi, na kuch bol sakegi-
Kar le talab yu teri zulfe hame
Hamara bhi dil kisi kaam ka na rahe
Na hosh ho teri madhoshi taley
Chain din ka bhi jaye aur shaam ka na rahe
Bas itna sa gunaah kar lu ke ishq ho tujhse
Fir mera muqadma aur kisi ilzaam ka na rahe
Aur ek ummid ke tere seene pe sar ho aur akhri saans lu
Bhale fir ye safar kisi anjaam ka na rahe-
Chori karke kisi ke bharose ki
Ghar ki diwarein nahi sajayi jaati
Wafadari itni keemti hoti hai
Jiski keemat nahi lagai jaati
Lagani hai to boli apne kaam ki lagao
Imaan ki boli nahi lagai jaati
Baat badi sidhi aur asaan hai lekin
Jungli janwaro ko samajh nahi aati
Wafadari itni keemti hoti hai
Jiski keemat nahi lagai jaati-
ITTEFAQ sukun ka zariya bann jata hai....
Jab andhero me saaya bhi chod jata hai,
Aur dil ka qareebi jab dil tod jata hai,
Haar jaata hai mann jab apne aap hi se
Chhupa ke dard bas duniya k liye muskurata hai...
Ummid se bhi ummid kho deta hai,
Chahata hai hasna par ro deta hai,
Aise haal me fir khuda karam barsata hai
Bebasi ki tadap me jab koi gale lagata hai
Tab pyara lagta hai har dard jo saha
Jab ITTEFAQ sukun ka zariya bann jata hai...-
Dil ke naam kar di shaamein
Zehen ko betha dia raat k thikaane
Wo kehte hai din to ab bhi hai tumhara
Kaise kahe wo guzar jata hai
Dil or zehen hi ko samjhane-
Waqt ke sailaab me armano ko gawa bethe,
Jaha tootne ka yaqeen tha wahi dil laga bethe,
Kehna ko sab haasil tha is zindagi se mujhe
Us sab ke darmiyaan tanhaiyan bhi kama bethe-
Na me tere sukoon ka khoon karu
Na tu meri zindagi ko ummid de
Jo door hoke haasil kar le tu duniya
Kyu yaad karke rona jab qareeb the
-
Tujhse mile dard seh lu
Aur ro bhi nahi sakta?
Hasi banu tere labo ki
Khud Kuch keh bhi nahi sakta?
Sukun chain mera sab tabah ho
Nind ko vida de bhi nahi sakta
Tu kahe reh lo mere bina
Kaise kahu reh bhi nahi sakta?
Ab dil bhar gaya hai
Zehen darr gaya hai
Zinda tha jo masoom mujhme
Wo marr gaya hai
Tu aa dobara apna ishq liye
Fir khudko isme kho bhi nahi sakta
Jo apne armaan the ab se tere hue
Mujhse ye vaada ab ho bhi nahi sakta-
Mutthi me reth se dabaye the jazbaat
Hotho ke piche bandh thi ye awaz
Tum aye, reth phisal gayi
Khoyi si awaz dobara mil gayi
Mere hosh shayad kisi kone the
Aur pata nahi kitne aansu rone the
Tum aye, kone bhi khil gaye
Dard se ansu jaake mil gaye
Din dopahar na chain tha na sukun
Raat ko alag hi akelepan ka junoon
Tum aye, maano khud ko paa liya
Akelepan ko raato se Mita liya
Tum aye, bas mausam ki tarah
Phool me lagi shabnam ki tarah
Me sambhalta usse pehle gir gaya
Fir hazar tukdo me bikhar gaya
Ab sambhalne ka shauk nahi
Muskurati hui tabyat nahi
Mujhe haasil ho sukun ki ek raat
Ye maan lia hai meri kismat nahi-