Badnami ka darr to
Tabhi khtam ho gya tha
Jab mera naam tumse jud gya tha-
Tumhe aitbar nhi tha
Ya yu kahu ke
tumhe pyar nhi tha
Maine to har lamha guzara tha
Tere khyalo me
Aur tumhe lga ke mai taiyar nhi tha-
Mt batana ke bikhar jaye to kya hota hai
Nayi nashlo ko bhi naye khwab sajane dena-
Tum jo kahogi
shayad wo mai nhi karunga
But yakeen mano
Tumhare liye kuchh bhi karunga❤️-
Sukoon kya hai
tumhe kaise batau ...
Bs itna samjh lo
uska khyal hi kaafi hai-
Wo tere yuhi pyara sa muh banana
Aur fir khul ke muskurana
Ufff kya kahani hai
Sari umr jo ab ise nibhani hai❤-
Ek khushi jis se dhundhta tha har subah
Mile ek ehsaas jiska koi khubsurat ho wajah
Mila yu mujhe tera ishq bepanah
Ho gya ab to jaise tere rooh me fanaa-
Safar tha khubsurat
Manzil ki bhi thi zarurat
Wo khwab thi ya murat
Aisi pyari si thi uski surat
Jab uske sath tha to
Ek ajeeb si thi ghabrahat
K kho n du kahi apni chahat
Sab kuchh tha bahut pyara
Pr kya fayda ye atit h hamara-
Ye akelapan me
Ye tanha sa mann me
Ye chahat ki uljhan me
Ummeed ki kiran me
Ye roushni tumse hai
-