Meri nadani to dekhiye.
Jinhone jhakhm diye is dil ko,
Hum unse hi dawa ki ummeed kar baithe.-
Har wajah Talash li jindagi ne khud ko mitane ki,
Na jane kyu ye Talash tujhpe hi aake khatam ho gai..-
Ek rang chada rakha hai man me humne.
Kuch daag bikher rakhe hai tan me humne..
Lapeta hai tan man ko is tarah, jism ko khak bana rakha hai humne.-
Ek akhiri Safar-nama likh diya hota hamari bhi kismat me,
Ke kab tak manjil ki talash me galiyon se guzarte rahenge,
Jhut hi sahi kam se kam kuch to likh to diya hota hamari bhi kismat me..-
Unhe takleef humse kuch yun hai. Ke agar
Hum kagaz par pathar likh ke bhi unhe pyar se maar de to wo apna khoon dikhane hamare pas aa jayen..-
Siyasat ke nashe me choor hamare siyasat-dan ho gye.
Karke julmo sitam janta pe, dekho wo log janta ke bhagwan ho gye.
Insaaf bhi kinse maang raha hai jamana, jo kal tak chor the.
Kya wo aaj sach me pehredaar ho gye ..
-
Tere alfaz bhi bade pyare hai mujhe, Takleef dete hai to kya.
Gushtakhiyan bhi to ki hai teri shaan me, Ab saza dete hai to kya.
Jhakhmo ke nisan padne dete nahi jism me, Dil cheer dete hai to kya.
Mohabbat ka ijhar na kiya ho beshak tumne, Bas ehsas dila dete hai to kya.
Gunah-gaar to na the hum, Wo iljaam laga dete hai to kya...-
Ummeed meri khak me kuch yun badal rahi hai.
Ab to jaise andere ki hadd, har roj badh rahi hai.
Roshan jahan ki bat karte the wo humse.
Ab to jaise Chirago ki roshni bhi andhero me badal rahi hai.
Jindagi ki bahar bhi loot li gai ho jaise hamari is zaddo-jehad me,
Ab to Khak e sukun ho jayen ye khyal zehan me pad rahi hai.
-
Uske mohabbat ka andaj alag hai.
Usse bhi humse sayad pyar bahut hai.
Jatane ki kosish hum bhi nai karte,
Lekin Dil me uske liye pyar bahut hai.
Alfajo me kya bayan karu jajbaton ko apne,
Uske ankhon me mere liye jhalkata hua pyar bahut hai.
Khuda na kare k wo rooth jaye mujhse,
Mai doston me keh bhi na sakunga k jeene k bahane bahut hai.-
Mujhe afsos hai ke, kyun khwab nahi hu mai tera.
Tujhe afsos hai ke, kyu khwab hu mai tera.
Ye to mera dil hi bata sakta hai ke kis bat ka gam hai.
Kyun soch soch ke tere bare me meri ankh ye nam hai.
Tu hi to ek khwab tha mera, afsos hai mujhe is bat ka, kyu ho na saka tu mera....
-