Paid Content
-
Khwahis mand hu mai bhi teri wafa ka,
Sukun e jindagi me na ho koi pal zafa ka.
Tu aa jaye mere dil me mohabbat banke.
Na fir khawab koi ho same e saba ka.-
Mai kya hun sayad mujhe malum nahi,
Thoda khudko ko tujhme talash lun,
Mai hun wahan ke nahi malum nahi.
Khyal sa hun sayad tere zehen me,
Haqikat hun ke sawal koi sayad mujhe malum nahi.-
Aisa kya likhun ke padhke sukun aa jaye,
Mohabbat hi to ki hai fir kyu na wo meri sar-e-aam ho jaye.
Jamana kyu khilaf hai mere aur uske beech duriyan badhane me,
Kyu na sara jamana hi hume milane ke khatir sath ho jaye.
Muddate ho jayegi sayad tanhai me hume,
Kyu na wo kisi aur ke na sahi bas sari umr hamare hi sath ho jaye.-
Wo chadhta hua din hai,
Mai wahi purani sham hu.
Wo naye din ki suru-aat sa,
Mai wahi purani yaad hu.
Wo jaise dhun nai sansar ki,
Mai wahi purana raag hu.
Wo chamakta hua tara aasman ka,
Mai wahi lachari ka mara hu.
Wo jivan ki suru-aat nai,
Mai bojhal sa tuta tara hu.
Wo beshak khubsurat chand hai,
Mai wahi badnuma daag hu.
Wo ujalo me chamakti nai ummeed hai,
Mai wahi gumnami me doobi ek sanjh hu.-
Jo jindagi na de pai hume wo sayad maut de jaye.
In bechainiyon me bhi sayad thoda sukun de jaye.
Gujarte waqt me dard badh na jaye kahin,
khuda teri marji ho to koi hume hasin maut de jaye.
-
Yun to Zindagi badi khubsurat hai,
Raste thode mushkil hai to kya.
Chalte jaiye Rasto pe janab,
Manjile thodi aur door sahi to kya.
Milenge ek din usi manjil pe sayad hum,
Raste thode juda-juda hai to kya.
-
Laffazzi e ishq ka kya fayda
Mohabbat to wo hai tumhari,
Jise koi aur bayan kare ...-
Bazar me shor hai ke sapne bik rahe hai,
Humne to suna hai paiso ke badle apne bhi bik rahe hai.
-
Rehbar wo mera mujhse rooth
gya,
Sapna tha jindagi ka wo bhi toot gya.
Kyun karu khuda se uske milne ki dua,
Jab khuda ne hi mera sath chod diya.
-