Jaydade kaha bati inme,
Jaydado me batgay bhai.....
-
Toot jata hai garibi me vo rishta, jo behad khas hota hai, hazaro yaar bante hai, jab paisa paas hota hai....
-
jawani me kayi gazle adhuri chut jati hai, kai khwahishe to dil hi dil me toot jati hai, or judai me to aksar tumse mukammal bate hoti hai, mulakaato me sari bate adhuri chut jati hai....
-
Is husn par tumhe guman kaisa hai,
or batao, tumhare shahar ka aasman kaisa hai, tum to kahti ho tum sirf meri ho, to tumhare gardan pe ye nishan kaisa hai.......-
A zindgi kya u hi guzar jayenge,
kya marne ke baad hi sukoo payenge
puri zindgi ladte rahe apno ke liye ham,
hame kya pata tha ki apne hi hame ganga me baha aaynge....-
ye kon raah me baithey hai, mushkurate hai, musafiron ko galat rasta batate hai, tere lagay huy zakhm q nhi bharte,
mere lagay ped sukh jate....-
kahi kisi se bhi zikre judai mat karna,
in aasuo ko kabhi roshnai mat karna,
jaha se ji na lage, tum vahi bichad jana,
magar khuda ke liye, bewafai mat karna..-
kabhi khushi se khushi ki taraf nhi dekha, tumhare baad kisi ki taraf nhi dekha, or ye soch kar ki tera intezar lazim hai, tamaam umr ghadi ki taraf nhi dekha.....
-
kisi bhi gam ke sahare ni guzarti hai, ye zindgi to guzare ni guzarti hai, or mai Zindagi, to kahi bhi guzar sakta hu, magar bager tumhare nhi guzarti hai.....
-
pyas lagi thi gazab ki, magar pani me zahar tha, pite to mar jate, or na pite to bhi mar jate, bas yahi zindgi bhar ke masle hal na ho pay, na nind puri hui, na khwab mukammal huy, waqt ne kaha kash thoda or sabr hota, sabr ne kaha kash thoda or waqt hota, hunar sadko pe tamasha karta hai, or kismat mahalo me raaj karti hai, subah subah uthna padta hai zindgi kamane ke liye saheb, aaram kamane nikalta hu aaram chod kar, daulat ki bhukh aisi lagi kamane nikal gay, daulat mili to hath se rishte nikal gay, baccho me rahne ki fursat na mili kabhi, fursat mili to bacche khud kamane nikal gay....
-