وَلَا تَهِنُوا۟ وَلَا تَحْزَنُوا۟-
Indian Muslim
Love to write,cook,read
Soft hearted yet strong enough to love surgery... read more
Naya Saal
Guzar rhe hain maah-o-saal bas yunhi
Hazaron khawahishen huin poori,
abhi bhi lakhon hain adhuri..
Chhor bhaagna tamannaon ke peeche
Aye insan kar talash sukoon-e- zindagi..
Na phans is duniya ki roshni ke bhanwar me
Nikal is sahr se , dhund qalb ki khushi....
Zindagi ko tu yunhi na gawan
Kar talash maqsad-e-zindagi...
Guzarte to sabhi hain
Tu jeena seekh ja ye zindagi..
-
Sometimes people let you down
Just to make you a bit more closer to Allah-
Lo ek baar fir maah-e-ramzan ayaa hai
Umeed dilon me is mushkil ghadi me laaya hai
Duaon ka dar khula hai nijaat is virus se paane ka mauka aaya hai
Gareebon ko deke sadqa is mushkil daur me
Jannat me jagah banana ka aur unko takleef se bachane ka mauka mayyasar aaya hai
Karlo ibadatein aye momino
Ke is baar maah-e-ramzan kuch alag tareeqe se aaya hai
Na ho mayoos ke masjidein hain band
Allah ne is baar hum sabko gharon ko masjidein banane ka mauka ata farmaya hai
Hai har baar se zyada zaruri tauba aur istagfaar ko amal me lana
Ke is paak maah ki barkat se is duniya ko firse hai zindagi ata farmana
RAMZAN MUBARAK
-
BATCH PICNUC 2014
Chalo is safar ko ek yadgaar banayein
Rahe jiski yaad barson dilo mein kuch yun khushiyan manayein
Yaad aaye jab batch ki apne kbhi
To lab ye muskurahat se khil jayen
Har ek shakhs yahan hai spcl
Har ek ki alag pehchan hai
Chalo apne dilon me unki ye pehchayen basayein
Is akhiri safar me hum kuch aapas mein Yun bandh jayen
Yaad hamesha aaye har ek ki is batch se
Na kbhi kisi ek ko bhi hum bhool payein
Kuch spcl hai batch me humare
Aao ye hum sab ko batayein
Chalo is safar ko ek yaadgaar banayie.
-
Adhoore se dil ki adhoori hain khwahishat
Zehan uljhano me ghira hai
lekin labon se nikalti nhi koi baat
-
Dekho un khwabon ki tabeer kitni bhayanak mili hai hume
Jo dekhe the khuli ankhon se kbhi raaton ko jaag kar humne
Mohabbat insaniyat se thi itni ke umar guzaar di insani jaan ki padhai me
Zindagi ke sare rangon se door ho kar
Bas ek safed rang ki chah me raat aur din guzar diye
Logon ko sukoon pahunchane ki garz se apne sukoon ko tyaag diya
Doosron ke pariwaar ko bachate hue kbhi apne pariwaar ka khyal na kiya
Har rishte se azeez rishta ek mareez se bana liya
Dekho aaj un sab qurbaniyon ka ye kaisa sila mila
Chaha tha jis safed libas ko aaj wo surkh dikhayi diya
Rishte banaye the jinse aaj wahi dushmanon ki kataar me dikhayi diye
Kuch ko chhod ke koi sath khada na dikhayi diya
Poochhoge aaj agar kisi bachhe se bade hokar kya banna chahega
Kaise wo apne dil ki khwahish zubaan tak layega
Kaise wo is desh me ek doctor banna chahega ???
Aaj jo hume zimmedar tehra rhe hain
Aaj jo humare sath khade hone me katra rhe hain
Kal agar bachha aapka apna sapna poora karte hue pehan le ye safed libas
Kya fir bhi aap apna yhi rukh usko dikhayenge
Dushmanon ke sang nhi agar to kya fir bhi awaaz uthane me katrayenge ??
-
Fursat ke lamhaat hon
Chai ki Piyali sath ho
Aur ho ek kitab
Zindagi ko aur kya chahiye ...
Barish ki boondein hon
Aur chand doston ka ho sath
Aur chai pe ho humari baat
Zindagi ko aur kya chahiye ....-
Samajh aaye to sahi na samajh aaye to bhi koi baat nhi
Ye zindagi bas kuch ko hi samajh aati hai baki sabki to aise hi guzar jaati hai
-