Yahan laga na wahan laga a tir dil par ja laga
Tera saat chod kar fareha mujko bahut bura laga
Qafa din raat nafrat se dil pe gehra asar hua
Juda hue muhabbat se mujko bahut bura laga
chale gaye muje chod kar tanha ko phir tanha kar
Mai qafa hua tu bura laga mujko bahut bura laga
Tera qayal hai phir se mujko apna banane ka
Tera qayal mere dil se pare mujko bahut bura laga
-
Interested in poetry
Ab Tu Bhol Ja Usko
kisi ki ban chuki dulhan ab tu bhol ja usko
Kisi ke ghar ki izzat hai ab tu bhol ja usko
Saji hai surq jode me kisi ka ghar sajane ko
Tere ghar par nahi aayi ab tu bhol ja usko
kisi ke naam ki mehndi hatun me sajaee hai
Ab teri ho na payegi ab tu bhol ja usko
Nagahen uski ab tujh ko nazar anadaz karti hain
Samaj kar uski majbori ab tu bhol ja usko
Nikha ab ho gaya uska kisi ki ab o mehram hai
Tu uska ger mehram hai ab tu bhol ja usko
A ansun hai bidahi ke ruk jaenge lamhe me
Quda qush rhakega usko ab tu bhol ja usko
Na jane kon hai ab tu uski nazrun me azam
Ab kya yaad rhakega ab tu bhol ja usko-
ABBA
Tumare naam se jana jata hun mai
kya Isse badi shuhrat ka talabgar hun mai! ?
Sab hasraten meri puri hui lamhe me
Kya inse bada kisi ka qarazdar hun mai ?
Thoda sa tha buqar tu o fajar tak the bedar
Kya unke dard me aese Beqarar hun mai ?
Hun zamane ki nazrun me ek tabib e jan
Kya unki nazrun me ab tak bekar hun mai ?
Jo bana hun main sab unki hai a mehnat
Kya aese muqaddar ka haqdar b hun mai ?-
Shukr hai zindagi me chadar nai hai azam
Warna perun ko bhi bistar par soch kar phelata-
Kese ladrun Mai mushkiloon se meri kya auqaat hai
Teri duaun me beshak kuch na kuch tu baat hai
Dukh dard me har lamha bus teri dua ka saat hai
Maa tum rehna saat hamesha tu har mushkil aasan hai-
Eid milne zarur aaunga
Mera chehra tuje dikhaunha
Wada kar ke mukhtar gaya koi
Ab Mai dil ko Kya dikhaunga-
Sab se pyari zaban hai urdu
Mere guftagu ki Jaan hai urdu
Farsi ho ke arbi ya ho hindi
In ke dam se mahan hai urdu-
Muhabat saat aati hai tu maa ki yaad aati hai
Usi Wahid tasawar me muje ek nazam likhni hai-
Aye zindagi Bata a konsa Safar hai
Alag raste par Manzil khabar hai-
Ek din tha jab maa mere aansun pe hasi thi
Un muskurate labun se meri zindagi Saji thi-