ख़्वाब
Vo khwab puraane achhe the.
Jhuthe hi sahi par apne the.
Ye sach ka mausam kyon aaya?
Tute sapne... Bikhre tukde..
Fir se ye jud na paaye to
Ik jhuth fir batla jana.
Ik aas fir jaga jana.
Jhuthi to saari duniya hai.
Sach kitne din tik payega.
Khwabon ka mausam achha tha.
Jhutha hi sahi par apna tha.
-