Ek baat kahun..
Dost-yaar ab kahan
nazar aa rahe hain
Matlab ke to ab
rishte nazar aa rahe hain
-
๐๐Hudd me rahoge agar tumโโ
To apni bhi hudd me rahenge ... read more
Nazar kuchh aur aa raha hai
Bayaan-e-haqeeqat kuchh aur hai
Badal chuke hain ab ishq ke afsaane
Wo koi aur daur tha ye koi aur daur hai
-
Hum pahoch chuke apni manzil par
Hume nahin hai koi naaz-a-safar ka
Jo do kadam abhi chale bhi nahin the
Wo humse raftaar ki baat karte hain-
Suniye....
Yun saleekha sikhane ki koshish
Umra bhar bhi chal sakti thi
Par aapke andaaz-a-bayaan ne to
Poore sheher ko kaafir kar diya
-
Is jahaan ke aage,
Ek jahaan aur bhi hai
Taqleefon se darna kaisa
Dard-e-fehrist aur bhi hai
Khud par aur apne
Houslon par rakh yakeen
Jeet liya apne hisse ka zameen
Sara aasmaan jeetna aur bhi hai-
Taaleem kiski kahan tak hogi
Ye to apne kismat ki baat hai
Warna kachchi umra me koi
Yun kamane nahin nikalta hai
-
Uff...
Ye kaajal tumhara
Ye mehndi tumhari... Ufff
Kis baat se shuru karun
Kis baat par khatm... Ufff
Ye shokhiyan tumhari
Ye nazakat tumhari...Ufff
Chanakte chamcham ye
Tere Pairon ki Payal... Ufff
Tum kehti ho humse
Nazar mila ke baat karo
Hum ek nazar dekh bhi le
To zubaan se nikalta hai... Ufff
-
Sulag rahi hai dheemi
aanch par ek muddat se
Kuchh khwaishein aur
kuchh armaan aise hi-