Diksha Dahiya   (@power__of__words_)
52 Followers · 8 Following

read more
Joined 18 February 2020


read more
Joined 18 February 2020
2 DEC 2022 AT 1:04

To... Mere pyaare JIJU❤️....
Kya hi likhu unke baare mai
Jo aaye unki zindagi mai
Banke ek khwaab
Ek din aap yun humko mil jaayenge
Phool hi phool raahon m khil jaayenge socha na tha
Dekhe jo khwaab vo is tarah se poore ho jaayenge socha na tha
Ek aisa khwaab jise sach ban-na hi tha
Unki jodi jo upr sitaro m bani thi
Chand or sitare bhi unke ek hone k gawah the us raat
Jab un dono ne pkda tha ek dusre ka haath 🥺❤️
Vo sharmaate hue unki Aankhein unse mili... Un khwaabo ko ek manzil mili
Haqeeqat ki taraf badhte hue unke kadam
Ek duje k hone k liye betaab unke dil🥰Engagement k din ki nikli tithi
Or us din aa gye jiju lke pyaar ki chithi
Rings hui exchange or pyaar gehra
Jiju ne dekha nidhi ka chamkta chehra
Shaadi ka din aa gya
Nervousness bhi badh gya
Aakhir dono ne phere liye saat
Or bandh gye saat janmo k liye saath
Jiju mere cute or sweet
Krte hai sabko kaafi ache se treat
Bni rhe aap dono ki jodi yuhi saath saath
Bass yahi hai mummy papa or sab bado ka aashirwad ❤️

-


4 JUN 2022 AT 4:48

Meri dhadkane badh jaati hai
Tere jikar bhar se meri muskan badh jaati hai
Tere jikar bhar se meri aahein badh jaati hai
Tere jikar ka hona hi mere din ko khubsurat bnane k liye kaafi hai
Tere jikar ka hona hi mere lafzo ko bayaan karna hi kaafi hai
Tera jikar jaise koi Aashiqui hai mere liye
Tera jikar hi teri or khichne k liye kaafi hai mere liye
Tera jikar jaise koi aadat hai mere liye
Iske bina jeena adhura hai mere liye
Tera jikar kaafi jaruri hai mere liye ❤️
DIKSHA DAHIYA

-


25 AUG 2021 AT 15:22

Aate ho par kabhi chehra dikhate nahi
Rote ho par kabhi kisi ko rulate nahi
Aisa hi to banna hai mujhe bhi
Par aisa banne ki tarqeeb kabhi sujhate nahi
Diksha Dahiya

-


25 AUG 2021 AT 15:16

Sajde mai tere bikhar kar
Tere liye duaa maangte hai
Lafz mere ulfat mai
Har dua mai rab se tujhe mangte hai

Diksha Dahiya

-


23 AUG 2021 AT 21:36

Ek raat jab hum dono saath honge.. Vo pal vo lamha kitna yaad gaar hoga.. Us aasman ki taraf dekhte hue tumhare haathon m mera haath hoga.. Tum mujhse najre milane ki chah m rhoge.. Or m sharmaate hue tumse najre nahi mila paaungi..... Tum mujhe gale se lga ke apni dhadkne mujhe sunaoge, or usi pal m mujhe tum apne dil m paaoge ...

Diksha Dahiya

-


29 JUL 2021 AT 23:15

Ek din tumhe bhi andaaza hoga tumne kya khoya tha..
Mai bhi us waqt tumhare liye kitna roya tha,
Dil na dekha tumne sirf dekhi surat..
Jisme thi ek pyaar ki murat..
Roye hoge tum
Jab hme nhi paaya hoga
Us din tu bhi roya hoga roya hoga

Diksha Dahiya

-


16 JUL 2021 AT 18:55

Fulwari kabhi khili thi usme
Dil bhut khush tha
Jab najre mili thi unse
Bagicha banne hi wala tha pyaar ka
Par kambakhat dhokha de gya yaar us pyaar ka
Dil dhadka tha zoro se jab dekha tha in najro ne us shaqs ko
Par kya mila yaar tujhe us mohobbat ka sila
Jab vo kisi or se jaa mila..
Dil tera hi tuta tha har sapna tera hi tuta tha
Har kaanch tujhe hi chubha hai
Par khan har shaqs ko uska pyaar mila hai

Diksha Dahiya

-


8 JUL 2021 AT 10:32

Kuch to acha dekha hoga bhagwaan ne
Tabhi inko is sansaar ka hissa bnaya
Bhut kuch dekha hai inhone Or khud apne pairo par khde hokar apna kissa bnaya😍

Happy birthday ma'am

-


13 MAY 2021 AT 16:23

Zindagi k mayene ab samjh aaye hai
Oxygen ki kami ne sbko sabak sikhaye hai
Ped na kaato bachalo apni jaan ko
Ab to kuch smjho is bhagwaan ko
Dukh use bhi hota hai, dekh kr is darishay ko
Bachana vo bhi chahta hai, dharti k har manushay ko
Uski har ek boond uske aankh ka dariya hai, dard use bhi hota hai ye jtane ka jariya hai
Bachalo apni jaan ko
Ped lgao or bachalo is jhaan ko
Mask pehno or bnao sbse duri
Kyuki corona m yhi hai sbse jruri
Stay home stay safe & keep the mask on..
Diksha Dahiya

-


9 MAY 2021 AT 10:19

Maa ka pyara, Maa ka dulara
Maa se badhkar nahi koi hmara
9 mahine jo hme apne womb m rakhti
Pal posh kr hme bda karti
Chahti vo h ki uski santaan aage badhe
Na kbhi ruke, na kbhi jhuke
Aanchal k uske hum par saaya hai, usi ki badolat koi bhi gum mujh tk na phoch paaya hai.. Jisne paaya uska pyaar, Dhanay hai vo sansaar, Bhagwaan jaa nahi sakte sabke pass, isliye usne maa bnayi.. Jisme dikhti hai sabko ek devi ki parchayi.. Agar uske pass hota apne bache ki taqdeer likhne ka kaam, To kisi bhi santaan k pass na hota gum ka namo-nishan.. Har kaam m rehti vo sabse aage hai, bache k har gum ko has has k vo sehti hai. Deti apne bache ko apne muh ka niwala hai, Maa mamta ka ek pyala hai.. Tapti vo kaam krke subah or shaam hai, na karti kabhi vo aaram hai. Bache ko chot lagte hi daud vo jaati hai or usi pyaar mai vo apni mamta jhalkati hai.. Na karti kbhi vo kisi se bhi davesh hai, isliye maa sabse vishesh hai.. Maa mamta ka ek sawroop hai, jiske ek nhi hazaaro roop hai❤😘
Diksha Dahiya

-


Fetching Diksha Dahiya Quotes