Dheeraj   (Sarif)
309 Followers · 43 Following

read more
Joined 29 March 2018


read more
Joined 29 March 2018
19 AUG 2018 AT 23:38

Ye insafo ke naare kya hai siwaye "shor" ke kuch bhi toh nahi!
Yaha Haath lagta hai kya "kamjor" ke?
kuch bhi toh nahi...!!!

-


2 AUG 2018 AT 22:16

Safar khatam ho gaya Manjil dur hai
Zindagi tera bhi kaisa ye dastoor hai

Soolah pakwan bhi suhata nahi kisi ko
Koi yaha bhukhe rehne ko majboor hai

Noor toh ab bhi kayam hai iss taaj ka
Magar mumtaj ab Yaha be-noor hai

-


29 JUL 2018 AT 14:59

Haal iss sahar ka ab aur kya hoga
Jab har darinda yaha khuda hoga
Akhbaaro ko kyu pare bhala hum
Khabar ab konsa koi juda hoga

-


21 JUL 2018 AT 14:45

Kisi par itna bhi shaq na kar Tu 'sarif'
Ki woh aitbaar torne par majboor ho jaye

-


13 JUL 2018 AT 14:24

Log Mar rahe hai kahi pyas se kahi sailaab aa raha hai
Kudrat se khilwar ka natija ab nayab aa raha hai

-


7 JUL 2018 AT 18:11

Na Manjil ka pata hai
nahi raahon ki parwah hai
Ik rahi hu
In gumnam raho par
chalta ja raha hu
Kabhi khud se Khud ko dur karta
Toh kabhi gairo ko
apna bana raha hu

Aasan nahi hai ye raah meri
Inme nahi hai maa chaa Teri
Kabhi pathar kabhi dhup
Toh kabhi kantee bante hai
Mere sangi
Mai apne kadmo se
Raho ki Duriya mita raha hu
Ik rahi hu
In gumnam raho par
Bas chalta ja raha hu

-


5 JUL 2018 AT 17:45

Acha hua ki pichar gay hum tarakki ki raho me
Mehfooj rehti hai larkiya ab bhi mere gao me

-


5 JUL 2018 AT 8:03

Sikh raha hu Mai ab phool bechne bhi
Pathar torne se zarurate puri nahi hoti
Jo hath banate hai kangan dusro ke liye
Unke Hathon me aksar ik churi nahi hoti

-


4 JUL 2018 AT 13:24

Aaj usko hamari zarurat kya pari
Hum uske ab kitne khass ho gaye

Dur tak na rakhte the jo wasta humse
Aaj hum unke dilke kitne paas ho gaye

Hume jawab dene ka fursat nahi tha jinhe
Unke liye hum ab khubsurat ehsas ho gay

-


1 JUL 2018 AT 23:05

Aadhi raat ko jinke sang hum rote the
Bhari dopahri ke dhup me jinke sath hum sote the
Mitti me befikri ke sath jinke yaha hum lote the
Wo dost bhi ab humse dur ho gaye

Jinke sang hum parne jate the
Maar bhi jiske saath mil bat kar khate the
Jiske liye kisi se bhi hum lar jate the
Wo dost bhi humse dur ho gaye

Jinke sang humne jina sikha tha
Apni Khusiyo aur gamo ko jinke sath Milkar likha tha
Jinsa hume khuda bhi na dikha tha
 Wo dost bhi humse dur ho gaye

Jiske liye har kaam karne ko mai tayar tha
Jisko mujhe apne prano se bhi jyada pyar tha
Jiske sath apni jori sada bahar tha
Wo dost bhi humse dur ho gaye

-


Fetching Dheeraj Quotes