Dheeraj   (Sarif)
311 Followers · 43 Following

read more
Joined 29 March 2018


read more
Joined 29 March 2018
30 JUN 2018 AT 7:16

Tere Ishq ne hume be-muravvat bana diya
Mere ana ko isse jyada jhuknna manjur na tha

-


29 JUN 2018 AT 13:53

Ab darne lage hai Hum apne hi logo se
Lagta hai siyasat havi ho rahi hai hum par

-


27 JUN 2018 AT 23:11

Na iljam laga raha hu Na ehsaan farma raha hu
jo sach hai wahi sach mai tujhko bata raha hu

Janta hu ki mere sang rehne ki Teri khwaish nahi
mai khud hi ab tujhse dur chala Ja raha hu

Mere dil ki malika tu hi rahegi hamesa ke liye
Chahe tere dil ki saltanat ko mai chor jaa raha hu

Isse bara saboot kya du mai apne mohabbat ka
Mai tere kehne par tujhko hi bhula raha hu

-


24 JUN 2018 AT 14:44

Mujhe mulk ki iss halat par Rona aata hai
Siyasatdano ki har baat par Rona aata hai

Jinke upar hai desh ko bachana ki Zimedari
Unke kiye hue har aaghat par Rona aata hai

Jinki maqsad hai desh me aatank failane ki
Unse ki hui har mulakat par rona aata hai

Jinda rehkar bhi kuch na kar sake hum 'raj'
Mujhe toh apne iss hayat par Rona aata hai

-


21 JUN 2018 AT 8:44

Log kehte hai aksar ki sarkare chor hai
Magar sach Yeh hai ki hum sare chor hai

Sarak par  hum  hi toh  niyam Torte hai
Fir apne pahuch ki taraf baat morte hai

Hum hi toh pahele Riswat ki peshkash karte hai
Le le toh rishwatkhor na le toh drama kehte hai

Imaandari se karte kaha hai yaha  koi kaam
Garbar hone par koste hai leke sarkar ka naam

Nahi jante hum ki vipda ye kitna ghanghor hai
Aur kehte hai hum bewajah ki sarkare chor hai

-


18 JUN 2018 AT 8:06

Usne mubarak toh kaha magar gale naa lagi
Meri ye eid bhi aadhuri hi rahi

-


16 JUN 2018 AT 0:09

Tera mohabbat ka khwab sakar nahi hai
Tere batoon par Yaha koi nisar nahi hai

Surat par tera ye guroor kiss kaam ka hai
Agar tere sirat par kisi ko aitbaar nahi hai

Bohot hai tere jismo ko chahne wale yaha
Magar kisi ko tujh se ruhani pyar nahi hai

Tere sath jine ki khwaish me hai kai dost
Par tere sang marne ko koi tayaar nahi hai

-


14 JUN 2018 AT 0:14

Mohabbat me pabandiya  lagaya na karo
Kitabo me rakhkar gulab sukhaya na karo

Jinse  hamesa khushi  ka wada kiya tha
Unke palko ko tum Yuhi bhigaya na karo

Jinhone duniya chor diya tumhare liye
Unhi ko har baar tum aajmaya na karo

Umar gujari Jinhone kanto par chalkar 
Unko phoolo par chalna sikhaya na karo

Dard e dil ki koi dawa nahi hota hai raj
Kisi ka dil torkar tum muskuraya na kato

-


11 JUN 2018 AT 2:14

Ab Hume dekhkar log rang badalne lage hai
Lagta hai Hamare sitare bhi dhalne lage hai

Hum jinke aankho ke tare hua karte the kabhi
Aaj unke aankho me bhi hum halne lage hai

Jis chand ko batate the wo Sabse khubsurat
Uss Chand me bhi aaj dag nikalne lage hai

Sayad koi kami reh gai thi humare bhitar hi
Tabhi toh log Hume chor kar chalne lage hai

Kitne Masoom kehlate hai wo log bhi ae raj
Hamare khwaisho ko jo ab masalne lage hai
 
Zindagi bhar Jinke liye larte rahe hum sabse
Aaj wo khud hi uss duniya me ralne lage hai

-


9 JUN 2018 AT 9:39

Kabhi kisi se dil laga kar hum bhi dekhenge
Kisi ko mahboob bana kar hum bhi dekhenge

Jite rahe hai hum aaj tak hakikato me hi aksar
Kabhi sunhare sapne sajakar hum bhi dekhenge

Sunte rahe hai dusro ke kisse Aaj tak hi
Kal apni kahaniya sunakar hum bhi dekhenge

Suna hai bohot junun hota hai Ishq me
Tera junun ab aajmakar hum bhi dekhenge

Bhari mehfil me khud ko bhula kar dekhenge
tumse kabhi dil laga kar hum bhi dekhenge

-


Fetching Dheeraj Quotes