Zara khamoshi ko dil mai hi band karlu...
Kahi shor se ankhe naa namm hojaye ...
Kahi durr jaakar khud ko gumrah karlu...
Dard ko tabut mai band kar, fir sukoon ke sath kahi kho jaye...-
Baha kar ye aansoo pochu,
Yaa behene naa du, ankho mai hi rokhlu...
Rokhlu par iss rooh ka kya jo yun kanp rahi hai...
Khair dard mera, ansoo mere, rooh bhi meri, faisla bhi mera...
Toh kyu naa iss baat ke liye bhi,
Harr baar ki tarah khud ko koslun...
ā % &-
Aaney wala kaal naa dekha,
Bita kuch bhi yaad nahi...
Jine soche aaj toh,
Waqt kyu mere hath nahi...
Jiye naa guzaare bas ye,
Zindagi hai yaa sirf waqt,
Jo kese bhi bitani hai...
Jitey marte, khoye kyu bich ke pall,
Pall pall se hi banti kahani hai...
ā % &-
Alfaaz toh ab bezubaan ho chuke hai...
Tum bas meri ankhen padh lena...
Mera dil bhara bhi ho toh kehe na paunga...
Tum bas meri ankhen padh lena...
Shayad kabhi jazbaat bayan karne se katra jau...
Par tum meri ankhen padh lena...
Chahat agar bayan karne mai kami rehe jaye toh zara sa waqt nikal ke...
Tum bas meri ankhen padh lena....-
Haan mana akelaa hu, par tanha nahi hu mai...
Khud ke sath mai khud hu, ab khud ke liye begana nahi hu mai...-
Mere raaz mere pas hi mehefuz rehene do...
Manaa tum zara karib ho mere,
Par mere dil ke sabse karib sirf mai hi hu...
Ho jati hai guftgu khud se hi jab kabhi mayusi hoti hai...
Isey ghamand naa samjhna...
Jisne mujhse sabse zada mohabaat kiya, vo shaksh bhi toh khud mai hi hu....-
Waqt tumhara hai jaani mehenat bhi tumhari hai...
Waqt lo zindagi ko behetar banane mai...
Musafir sirf tum ho or manzil bhi sirf tumhari hai...-
Nazron ko manzil nahi, raahein nazar aati hai...
Manzil ko kabiliyat, or waqt ko mehenat nazar aati hai...-
Zara khamoshi ko, alfazon ki rahen dikha do...
Zara dil ke dard ko, ankhon ki nami se mila do...
Apne parr kholo, or zamane ko udh ke dikha do...
Akele nahi ho tum, khud mai khud ko thodi si, rehene ki jagha do...-
Ye mera bura waqt bhi toh samay hi hai, guzar hi jaega...
Shayad sab bikhar gaya ho, ye dil ek din samhal jaega...
Fir hasna sikh hi lenge, aagey badhna bhi sikh hi lenge...
Jazbatein shayad vese hi honge, par ehesas shayad badal jaega...-