Suno, tum agar jane ko kaho toh jaana hai kya?
Waise main aane jaane mein maanta nahi.
Magar shayad thehrav sabko pasand nahi.
Aur agar jaana hain toh sab chhod kar jaana hain kya?
Main chizon ki baat nahi kar raha.
Tumhe andaza bhi nahi hoga
tumhara kitna kuch sambhal kar rakha hain maine
Aur chori chori apna kitna kuch
tumhare mann ki almari mein chupaya hain.
Agar jaana hain toh ye sab len den karke jana hain kya?
Hisab kitab mein samay bahut lagne wala hain.
Humare safar se lamba chalega ye hisab kitab.
Mere aane se jitni khushi hui thi
Utna dukh mere jane par hoga kya?
Ya badal diya jaunga main?
Ek naye chehre ek nayi awaz se, naye jazbaat se.
Sochkar bhi dar lagta hain.
Mujhse ye sab dobara nahi hoga.
Suno, mera mann nahi hain jaane ka.
Jaana zaroori hain kya?
Thoda jodte hain na toote tukdon ko.
Asaan nahi hoga par zindagi mein asaan kya tha?
Kam se kam ye hume akele nahi karna.
Suno, main sath hoon tumhare.
Yahin, yunhi.
Tum ho na mere sath?- Dhairya Mehta
24 JUN 2023 AT 16:32