Dhairya Mehta   (Dhairya Mehta)
2.2k Followers · 115 Following

read more
Joined 10 December 2017


read more
Joined 10 December 2017
23 APR AT 22:25

Zindagi mein aage badhte badhte,
aabhas hi nahi hua
kab "kaash" shabd ki paribhasha
bas ek shaqs banke reh gaya.

-


22 APR AT 21:30

मेरे दिमाग में ही सही,
दोस्त बड़े अच्छे थे हम.

-


21 APR AT 10:01

अपने हिस्से का सब्र पूरा रखा है मैंने,
देर से ही सही, थोड़ा कुछ अच्छा हो.

-


17 APR AT 0:54

ख़ाली हूँ इसलिए चला नहीं आता तेरे एक बुलाने पर,
अक्सर खुदको ख़ाली करके आता हूँ तेरे लिए.

-


17 APR AT 0:48

बेशक, हमेशा से ज़्यादा ख़ूबसूरत लगती हो तुम रोते हुवे,
पर मुझे तुम्हारा ग़म से रोना पसंद नहीं.

-


16 APR AT 21:18

दूरियाँ चल जाती है,
परहेज़ फ़ासलों से होता है.

-


12 APR AT 14:49

तुम माफ़ कर देना कभी कर सको तो,
मैंने हाल ही में ख़ुद को माफ़ किया है.
और ऐसा नहीं कि मुझे पछतावा नहीं अपनी गलतियों का,
पर उन्हीं लम्हों में जीते रहने का शौक़ भी नहीं है.

-


12 APR AT 8:30

Khayal anginat ho jaaye jab,
tab samjhta nahi kahan se shuru kiya jaaye.
Bahut kora sa ek kaagaz hain,
Chalo kuch betartib shabd likh diye jaaye.

Pahad ki choti par ek kutiya ho, behta jharna ho,
Udte panchhi ho aur bas ek cup chai mil jaaye.
Main kaun hoon, main kya chahta hoon,
Aur bhi jo ho bhitar, saare sawal bahar ajaye.

Sawaal sare ikhatta karke, chai ki madad se
ek band kamre mein jawabon ki khoj shuru ki jaaye.
Kore kaagaz ko thoda thoda bharne hetu,
Shayad meri ungliyan kuch jaadu kar paay.

Jaadu karne mein yun toh main maahir nahi hoon,
Par kaafi hadd tak khayalon ko kagaz pe utaar paaya hoon.
Dil ki nazar se dekhna aur dil mein utarna inhe,
Main mere, shayad humare, astitva ka saar likh chuka hoon.

Wo saari khushiyaan baant sakoon main,
jo mere akele mann mein na samaay.
Aur wo saara dard le sakoon main,
jo kisi akele mann se saha na jaaye.— % &Ek nazar ghumakar jitna dekh sakoon main,
utne mein hi sukoon ki nayi paribhasha ban jaaye.
Thoda main jaan paun duniya ko,
thoda duniya bhi mujhe samajh paaye.

Jo bhi jude, thoda ruk jaaye,
aur rukne waale thoda theher jaaye.
Aur jaana hi pade 'gar kisi ko,
toh khush hokar saaf mann se jaaye.

Lekhak nahi, main bas kalam hoon.
Aur ye umr meri syaahi hain.
Badalte vakt mein meri syahi se likhe gaye chand panne,
Kash thoda acha badlav le aaye.

Main jab tak jiyun, nayapan dekhta rahoon,
kuch sikhta rahoon, kuch likhta rahoon.
Kuch kisse, kuch kahaniyan, kuch yaadein
aur thodi si khushiyon se ye umr guzar jaaye.
Fir ek roz, yunhi sukoon se,
likhte likhte syahi khatam ho jaaye. — % &

-


10 APR AT 0:07

बस ख़ुद का ज़रा सा साथ दे देना,
बाकी ज़र्रा-ज़र्रा तुम्हारे लिए रास्ते बनाएगा.

-


10 APR AT 0:01

Hum unhe bhoole nahi.
Vakt se hum beesre nahi.
Aur geet kabhi ruke nahi.

-


Fetching Dhairya Mehta Quotes