Main mehes ek zarurat hun apno ke liye..
Jis pal kuch na ho mujhse yuh muh mod lete wahi apne.-
Aaj jab azmaya maine mod apno ka
Toh dekha bas parchai leke chalra tha
Jaha andhere me maine sirf khudko hi paya.-
Jaha Diwali ki jagmagahat se duniya roshan hai bahar
Wahi meri ek duniya andhere me soyi hui hai jaha na roshni ka pata na koi pukar-
Ke le chal ab phir tanhayio mei..
Ab phir dil nai karta duniya ke bechme rehna-
Na jane kitni khwahishe mari phir bhi yaad gharme sirf kharcho me hi aayi,
Baap ka sath chut chuka janab ab humari khushi khudme hi na nazar aayi..-
Apno ki hi nafrato me dabta raha hun mei,
Phir bhi apno ki zimmedari sar ankho mei lekar chal raha hun mei.-
Kitne diyo k bech andhera sa haii,
Aur kitne hulchul k bech mann khamosh sa haii.
Na sawal na koi jawab, zindagi tu kitni paheliyo sa hai.-
Kehte hai zindagi ek kitaab hai
Jo padh saka voh khaas bangya.
Par shayd meri kitaab kyu itni khali si rehgayi
Ke koi na padh saka aur kabhi samjh na saka.-
Lamhe mere kya kahaniya batayegi.
Yeh khud gumraah hai meri muskurahat ki tarah.-
Kitni tanha si hogayi hai na zindagii.
Bahar jaha diwali ki zahanat hai toh kahi andar zulmat si bhari aankhe.-