Aur phir kuch arse baad mulaqat hui tujhse...
Aisa laga māno zindagī ek naye mukām par ā gayī ho...
Tere chehre pe muskurahat thi, aankhon mein sukoon tha,
Par dil ke kone mein kuch adhoora sa junoon tha...
Baatein thi sab sahi, har lamha tha behtareen,
Phir bhi kuch tha jo kahkar bhi reh gaya tha kahin...
Aur phir hasi mein chhup gaya har dard purana,
Lamho ne pehna diya dosti ka afsana...
Jo tha kabhi apna, ab yaadon ka noor hai,
Zindagi muskaraayi, keh gayi — "yeh bhi zaroor hai."
Do raaste hain ab, par ek hi aasman ke tale,
Khush hain dono, par kahin kuch khaali se pal hai...
-
Ishq hai ya koi dil pe illzaam hai...
Ashq banke bahey phir v muskaan hai..
Chandd lamhoin ka yeh hai safar..
Ya koi zindagi bhar ka jaise ikraar hai...-
Cheezein rakh kar bhool jaane ki aadat hai humein...
Zara theek se dhoondo kitaaboin ke inn pannoin mein
Shayad sukhe gulab ke saath woh dil bhi wapas miljaaye..-
Kuch yunn umeed lagaye baithe hai hum unse...
Woh jinhe humari maujoodgi ka ilm tak nahi...-
Woh Raavan hi acha tha jiske paas sita surakshit toh thi...
Warna sita ki mrityu ka kaaran toh koi aur hi tha..-
Samajhdaar hai hum, yeh duniya jaanti hai..
Buss tere saamne bewakoofiyaan karne ko dil chahta hai..-
guzra karte the jinn galiyoin se kal tak..aaj woh phirse anjaan hogaya....
badal gaye hain hum.. ya phir woh rastaa hi gumnaam hogaya...
murd kar jab bhi ki koshish khud ko pehchanne ki.....
saaya jisko rakha tha sambhaal kar apne pass..
aaj woh saaya bhi badnaam hogaya....-