Tab,
Kabhi kabhi itna hasaati thi ye zindagi,
Haste haste khushi ke aansu le aati thi ye zindagi,
Kisi anjaan ko apni zindagi kehlwati thi ye zindagi,
Thokarein khakar sambhalna sikhati thi ye zindagi,
Roothe ko bade pyar se manwati thi ye zindagi,
Ladai jhagde gale lagkar suljhaati thi ye zindagi,
Magar apni nazro mein kabhi na girna,
Baar baar dohraati thi ye zindagi!!
Ab,
Jhuti muskaan k sath andar hi andar rulati hai ye zindagi,
Aansu toh bhot hain par hasi ab na laati hai ye zindagi,
Thokarein ab bhi hain par sambhalna bhulachuki hai ye zindagi,
Jhukne ki hadd paar karwachuki hai ye zindagi,
Apni nazro mein girachuki hai ye zindagi,
Par jise zindagi kaha tha, usse ab bhi apni zindagi maanti hai ye zindagi!!
-