Debabrata Sahu   (D❤ se शायर✍)
10 Followers · 8 Following

Mana waqt hamse dur bhag raha hai,par irade Ki rasi bhi majboot banaya hai.
Joined 18 September 2019


Mana waqt hamse dur bhag raha hai,par irade Ki rasi bhi majboot banaya hai.
Joined 18 September 2019
17 SEP 2022 AT 21:30

Woh masoom ho gaye hain ae khuda,
Woh mujhe pooch rahe hain,
main kahan kho gaya hoon..

-


17 SEP 2022 AT 21:02

Tujhe pyaar karna nahin aata,
Mujhe pyaar ke siwa kuch nahin Aata.
Dunia main jeene ke do hi tarike hain,
Ek tujhe nahin aata,
Ek mujhe nahin aata.

-


11 AUG 2022 AT 19:09

Ye jamana tujh main kho gaya hai,
Ae mehnat tu imandar ho gaya hai.

-


30 MAY 2022 AT 12:39

Kal ka pahiyan ghumaya toh
Main lankapati sa gyan hoon
Shiv dhanu todnewala
Woh ram sa mahan hoon
Prem ko sakti man ne wala
Woh krishna ka abhiman hoon
Shiv ka putra,janeb dhari
Parsuram ka maan hoon.
Kahan mitaoge aap mujhe
Main sarbatra bidyaman hoon.
Todne se bhi jo na tute
Woh amogh hatiaar hoon.
Han main bhagban ka avatar hoon

-


29 MAY 2022 AT 13:16

My dear fugu...
Time aaj hai,kal nahin hoga
Insaan aaj hai,kal nahin hoga
Tumahara sarir bhi
kabhi mitti main hoga.
itna bhi nazarandaz na kar mere dost
Warna sachha insaan tumse dur hoga.
intezaar ko bhi mahobbat se dekhlo
Warna khuda ko mere liye
Ana padega.

-


29 MAY 2022 AT 10:12

Chahtein kabhi marti nahin,
Khwahisein kabhi harti nahin.
Mana pyar main har gaya hoon main,
Par himmat kabhi tut ti nahin.
Ye jo mahobbat hai khuda ki ibadat hai,
Tutne se bhi chut ti nahin.
Mana bichadgaye hain ham,
buri kismat hamesha rehti nahin.
Ab aa bhi jao itna kyun nafrat karte ho,
insaan hamesha yahan rehta nahin.
Waqt hai ek akhri baar bharosa karlo,
Kya pat kal tu ho aur main nahin.

-


28 MAY 2022 AT 19:06

Haal ae jindagi kuch aisa hogaya,
Hamne jis jis ko chaha,
Har us shaksh nain hamein thukraya.

-


24 MAY 2022 AT 20:07

Zindagi ki bheed main
akela ladh raha hoon
Khwahison Ki dunia main
khudk kho raha hoon
Ae khuda
us insaan se milade mujhe
Jiska salon se intezaar kar raha hoon.

-


21 MAY 2022 AT 17:20

Masoom hai woh par hal nahin dekhti
Samajhdar hai par khayal nahin rakhti
Unhe Sab pata hai
Ki masoomiyat nahi rahi unki
Phir bhi , hathon main aaina
aur akhon main khanjar liye ghumti

-


21 MAY 2022 AT 16:57

Chalo thode ache hote hain
Thodi hi sahi lekin sachhe hote hain
insaan ki fitrat hi hai bhul jana
Chalo phir bachhe hote hain.

-


Fetching Debabrata Sahu Quotes