We laugh by remembering the days we cried,
and we cry by remembering the days we laughed.
Life is strange :)-
Wizard of words
Db_dev_.. Do follow in instagram
New video link is given below
"Kya... read more
Ae manzil,
me sabr rakha hun, par tu aazmana nahi
me daud raha hun, tu bas bhagna nahi
kissa kamiyabi ka taiyar rakhna,
me aa raha hun, tu bas ruthna nahi.-
Hum insaan kitne ajeeb hote na.
Humko barish pasand, par bhigna nahi.
Humko samandar pasand, par ret nahi.
Humko pasand hai gulab, par usme kante nahi.
Humko insaan pasand hai, par uski khaamiya nahi.
Akshar raatein jab aati hai, kayi kahaniya leke aati hai.
Kuch kahaniya ko dimag sach maan leta hai, aur kuch ko dil khwaab piro leta hai.
Kahani sach ho ya khwaab,
Humko raat lambi pasand, par andhera nahi.
Tyag prem ki paribhasa hai.
Ab jeevan ki bidambana dekhiye
Sabko apni prem pana pasand hai, par usko chodna nahi.
Aur jab woh na mile,
Koshte bhagwan ko hai, par jhaakte nahi uske dil me, ki ye prem bhala hai ki bhi nahi.
Shayad jivan jeene ki andaz hi yahi hai.
Sahi me, hum insaan kitne ajeeb hai.-
Swipe to unlock wale phone pe,
mein ab password laga baitha tha.
Shayad kuch galat kar baitha tha.
-
Ye hawayein badal rahi hai,
mausam toh kab ka beimaan hai.
Ab ye ruh bhi pukar ne lagi hai,
Ki jism bhi teri talash me hai.
Kya din kya rat, kis bat ki intezar hai.
Mein toh shaam me bhi pyar kar jaun,
Bata, koi aitraaz hai?-
जो तबस्सुम तुम्हारे चेहरे पे लाने की हम मन्नत किये थे,
आज वही तबस्सुम दिखाके तुम किसी और को मुतासिर् करती हो।-