Ijhaar hai, inkaar hai, ikraar hai, aetivaar hai...
Betuki baatein, yeh Chand ratein, yhi bawaal to pyar hai....
David Disuja..-
Mere alfazon ke dayre me simta hua hai bahut kuchh,
Ijhaar hai, ikraar hai aur bikhra hua hai bahut kuchh....
David Disuja...-
Na jaane kitne raaj is ek sawaal mein hain.
Hme apna kahne wale..., kya jaante bhi hain ki hum kis haal mein hain....
David Disuja...-
Dur hokar bhi jo shaqs samaaya hai meri ruh me,
Pas walon pe wo kitna asar rakhta hoga...
David Disuja...-
Me usko jitna dekhun pyas utni hi bade,
In ankhon me uske aks ki talab aisi hai..
David Disuja...-
Kaun kahta hai ki aapki tasveer baat nhi karti...
Har sawaal ka jawab deti hai bas aawaz nhi karti.....
David Disuja...-
Tum mohabbat bhi Mausam ki tarah nibhaate ho, kabhi barashte ho to kabhi ek bund ko tarshaate ho.....
David Disuja...-
Unse ahshas apni mohabbat ka jataane ke liye..
Na jaane kitne Sher likh diye hamne zamaane ke liye...
David Disuja..-
Nazar Nazar me Wafa ke ujaale aur bhi the,
Mohabbat ke dard ko samajhne wale aur bhi the..
Aapki adaayein hme bahut pasand aa gyi ..
Warna tumhare shahar me dilwale aur bhi the....
David Disuja...-
अगर हो इजाजत तो कुछ सुना दूं क्या?...
आज थोड़ा प्यार जता दूं क्या?....
तुम मेरी हो सबको बता दूं क्या?...
मेरा कमरा बहुत उदास सा है
तेरी एक तस्वीर लगा दूं क्या?..
तुझे लिखने में दिन चला गया
सोचने में रात बिता दूं क्या?....
David Disuja...-