Waqt bewaqt har jagah bewajah hoon
Na jaane kaisi khwaaish me har pal jala hoon
Haqeeqat se koi wasta nahi
Apni hi dhun me chal pada hoon
Rubaru Hun teri har mulaqaton se
Ab yahi soch kar Aage badh Raha hoon
Hauslon ki koi zaroorat nahi
Gumaan mein ab tak jee rha hoon
Fasanay Afsanay ab bunta nahi
Wafa ummeed yakeen aitbaar sab guzishta hai,
Kyun gumaan mein ab tak jee rha hoon ...
-
Ye Meri Zindagi
Hai Dastoor Yahi
Kismat Hai Meri
Meri Manzoori Nahi
Kaafila Ye Waqt Ka Yahan
Yahan Meri Chalti Nahi
Bebas Hai Mere Lamhe
Sukoon Ke Pal Milte Nahi
Chal Rahe Hai Ye Kadam
Manzil Ka Pata Ab Tak Nahi
Ye Meri Zindagi
Ye Teri Zindagi
Hai Dastoor Yahi-
Khaamosh Ghumsum Hai Rehti
Kisi se kuch na hai kehti
Raaton Ko Karti Pareshaan
Hoti guftagu khud se
Har Shaam yhan
Ye Shaam Bhi Hai Kat Rhi
Har din hai shor bhari
Hai Bheed Mein Itni
Phir bhi hai Suni Suni si
Ye meri Zindagi . . .-
Khwahishein krke badi badi
Haasil nahi kuch bhi Abhi
Khwaab hai ye zindagi
Haqeeqat kuch bhi nahi
Waqt ke peeche bhaagte sabhi
Kehte waqt hi nahi
Zaroorat hai ya majboori
ilm iss baat ka kise ,
Dhunda bhout par Mila nahi
Kashmakash mein hamesha sochta Hun
kabhi meri bhi mehfil ho saji
Fir sunayi deti ek sehmi awaaz .. kehti ,
Hoga wahi jo likha hai takdeer-e-zindagi . . .-
वो कहानी ख़त्म हुए
काफी अरसा हो गया ।
चलते चलते कहीं राहों पर
वो किस्सा फिर दोहराया ।
नसीब गुनाहों को नहीं भुला
और वक़्त वापस वहीं लौट आया ।-
Dusro par Kya ungli uthata hai
Khud ko dekhna
Mai khud, khud me hi sharminda Hun
Auro ko Kya Kosta hai tu
Mana ki zaalim hai duniya
Tu khud bhi to kaabil raham nahi-
Mehfil mein bhi hoon tanha sa
Maujood hai tu mere khayaalon mein
Hoon ghar se door
Aur tu hardum mere sawaalon mein
Yaadon se Aati ek halki mushkaan
Aur nayi baatein karti hai pareshaan
Sahara hai apno ki kami ka yahan
yahan waqt gujarna itna bhi nhi hai Asaan
-
Musaafir hoon
Waqt ki tarha guzar jaunga
Abhi to Tere Aangan me kadam rakhein hain
Itni jaldi nahi samajh Aaunga
Mukhauta nahi mere chahre pe
Par kuch Haqeeqat Raaz hi reh jayenge
Hairaan hona laazmi hai
Sawaal ban kar bikhar jaunga-