Abb hasna hasana bhul gaye
koi rulata hum rote gaye...
Yeh dard bhi kya chij hai
behta hai is qadar ki
nafs bhi bikharte gaye
Aayat hi iss tarah hain
mittayein na mitte
bas zakhmi hote gaye !-
Kaash humare khushiyon ko
mefus rakhne k liye
koi passbaan hota,
jo humare pass na hokar bhi
apne afsoono se
khushiyon ka jhola bhar de-
Izhare -e-ishq ke tasavvur mein
alfazon ki duniya mein hum doob gaye...
ke phir aap saamne aaye
hum aapke takhayyul mein kho gaye..-
Royi thi us din jis din
dekha tha sansar sara
Royi thi uss din bhi jis din
bik gaya tha ang mera-
Jo motiyon mein toli jaaye wo naata kaisa
Jo harfo tak seemat jaaye wo rabt kaisa..-
Halat gujarne ke raah mein
dalilo ne apna faisla suna diya
Sukun tatol hi rahe the ki
waqt ne apna hazri gala diya-
Aa gaya bahar ek naya
Ho gayi seher ek nayi...
Kya kare iss asraar ka
Ho na pata humse inkaar
kar na pate hum iqraar
Ae dil abb tu hi bata
kare toh kya kare hum !-
Abb ibadat inayat
mein badal rahe
kisi apne ke khatir
Aayat ban rahe
humare shabab
Ke khatir...-
Kaash humare lafz aise ho..
Aapke yaad mein
ki har lafz mein
aap deedar ho..-