...Naa ban paaya kaabil...
Naa bana ek kaabil beta,
Naa bana ek kaabil bhai,
Naa bana ek kaabil dost,
Naa bana ek kaabil mohabbat,
Naa kabhi maang paaya ek kaabil dua,
Naa ban paaya ek kaabil insaan.
Bas... nahin nahin ban paaya kaabil..-
Writer ✒
Insta:- bro_d_26
Ki pata nahi mere baare mein kya gilaa tha uske mann mein,
Ya toh mujhe batana nahi chahti thi,
Ya shayad mujhe hi nahi chahti thi.-
Meri Zindagi
Meri zindagi ka woh hai ek ehem sa hissa,
Kabhi na khatam hone wala ek mazedaar sa qissa.
Meri zindagi ke andhere mein chaya uska noor,
Paa kar uske noor ko ho gaya hoon maghroor.
Meri zindagi ke khushiyon ka tu hai zariyaa,
Har waqt tere liye aabaad rahe mere dil ka dariyaa.
Meri zindagi ke kitaab mein woh ek sunhera panna,
Naata kabhi na toote humara bas yehi hai tamanna.
-
Jab saji mehfil-e-mohabbat toh humara zikr bhi na kiya gaya,
Lekin jab saji mehfil-e-nafrat toh sabse pehle humara naam liya gaya.-
Kuch thi raahein andheri, jaha woh roshni ban gayi,
Kuch thi raahein dag-magi, jaha woh sahara ban gayi,
Kuch thi raahein veeran, jaha woh bahaar ban gayi,
Aur kuch thi raahein tanha, jaha woh saathgi ban gayi-
Jab baatein shuru karti hai toh beech mein use tok nahi sakta,
Haath tham kar rokne ki qabiliyat rakhta hoon...
Lekin afsos ki lafzon se bhi use rok nahi sakta.-
Ki bhaage hain hum hamesha apne aap se,
Naa hi bhaage kisi ghum se naa hi kisi nazam se,
Par ab khud ko paane ki yeh jung hai,
Jo jeetunga main kalam se.-
Agar aasuon ka taqaaza kisi ki yaad bayaan kar pata,
Toh shayad mere aankhon se aasu-e-nami hamesha behti rehti.-
Yeh zaruri nahi ki anjaam hi hamesha dard de jaayein,
Kabhi kabhi sirf wajah bhi dard dene ke liye kaafi hoti hai.-
Kuch rishton ki yaadein kabhi behadd khushi toh kabhi be-intehaah ghum de jaati hain,
Kuch rishton ki dorr kabhi bahut mazboot toh kabhi behadd kamzor ho jaati hai,
Lekin inn rishton ki apni ek ehmiyat hoti hai har kisi ke liye,
Aur inn rishton ko tutne se bachane ke liye kabhi kabhi "Khamoshi" hi kaam aati hai.-