Zindagi ke safar me
Sab apne hote hai
Kuch saath hote hai
Kabhi muskurate hai
Kabhi mayoosi chhajati hai
Man karta hai Kisi lamhe ko kaid karlun to Yaadein rulati hai
Pata nahi Zindagi aise hi kyun hoti hai-
Jazbat bayan karta hun
Har roz ek nayi shayari aapke naam
Aapko mere kalam ... read more
Zindagi adhuri hai apno ke bagair
Sapne saare sach nahi hote
Kuch yaad apno ki dilate hai
Kuch apno se door lejate hai
Insaan kya hi karsakta hai
Sapne sajaye yaa khud ko sajaye kya hi farak padta hai
Muskurate huve kuch lamhe guzar jayengey
Sab apne aap sambhal jaayegey-
Kabhi keh kar to dekho
Dil to kya, khudko tumhare hawale kardun
Mohabbat ruthne waalo se nahi hoti
Har haal nibhane waala chahiye-
Jhoomti hai mohabbat
Jhoomta hai aashiq
Ishqe khuda ho to
Na hoga mushrik-
Ham bhi sitaron ki tarha chamkengey
Mohtaj nahi hai kisike
Mila hai jitna bhi shukar hai uska
Bey hisaab Ata karega vo
Yahi guman hai hamara-
hakeer koi nahi hota
sab khuda ki den hai
masla ye hai ki
kisi ko de ke aazmata hai to
kisi ko kuch na deke aazmata hai
muqaddar ka sikandar wahi hota hai
jo apni ehmiyat jaanta hai-
Katil nigahe teri jaan le rahi hai meri
Jhum uth raha hai dil husn ko dekh ke tere
Shabnam si gaal fiza jaise tere hont
Bula rahe hai mujhe ki aajao mere sang-
Jise jitni mohabbat karoge utna dard milega
Aashiq hun mai zindagi uske liye waqf rahegi-
Mohabbat hamne unse behad ki thi
Pata nahi rukavate kaha kahan se aane lagi
Ham to bas soch me padgaye the,
ke ye kya ho raha hai
Phir ek aawaz aayi,
tune bewafa se ishq kiya hai-
Tumhe dekh ke mi apni saari,
Thakaan ko bhooljaun
Rab ke baad tumko hi mi chahun
Ye muskan tumhari,
apne dilme chupalun
Tumhare baad ye dil
kisi aur ko na dey sakun-