daniyal khan   (Daniyal khan)
60 Followers · 25 Following

read more
Joined 9 September 2019


read more
Joined 9 September 2019
28 FEB 2024 AT 21:34

Yeh shaam bhala kya shaam ho gayi dil pr khanjar mere.

Mere ishq ke hatho meri maiyyat ho gayi.

-


28 FEB 2024 AT 21:27

Yeh shaam bhala kya shaam ho gayi dil pr khanjar mere.

Mere ishq ke hatho meri maiyyat ho gayi.

-


6 SEP 2023 AT 2:12

Hunar, tajurbe, yeh jaadu hatho'ñ ka.
Likhna band kr diya hai yeh qirdaar haar gya hai.
Sher-o-shayeri, nazmein, kahaniya'ñ yeh to faqat sahara hai.
Aye pet tune ek fankaar maar diya hai.

-


17 JUN 2023 AT 19:44

Tamaam gunah meri zaat se hai mansuub daniyal.
Yeh husn ke chalave to masoom hai sare.

-


28 JAN 2023 AT 13:34

Lafzoñ se bana di hai tasveer teri.
Ke dekh zikr Tera kis hadd tak hum-se hua.

-


27 NOV 2022 AT 12:03

Jo jii hi nahi mene us kahani ka qirdaar huñ mein.
Tamaam umr surkh zakhmo ka hisse daar huñ mein.
Har lamha haara har morh pe bikhre hein sapne mere.
Apne hi andar ehsaas-e-kamtari ka shikaar huñ mein.
Raato'ñ mein jaaga Tulu-e-aftaab pe soya. aye khuda kitna bad bakht tere niyamo'ñ ka guneh-gaar huñ mein.
Kahiñ to padni hi thi in gunaho ki thokar.
Apne andr kalandar kalakaar duniya mein benaam haara insaan huñ mein.

-


14 JUL 2022 AT 17:50

Mene ankho se behte selaab dekhe hein.
Guroor ke dubte mahtaab dekhe hein.
Mojuda mujh-me apne mene.
Khud se soda karte mere khwaab dekhe hein.
Tera hona meri quwwat ho jese.
Albatta zindagi mein chehre hazaar dekhe hein.

-


7 JUN 2022 AT 12:31

Saltanat mein reh kar apne zameer ka khayaal kro.
aye kursi pe bethne walo zara zameen ka khayaal kro.


-


4 JUN 2022 AT 0:47

Hazaar baar haara hun tab jake seekha hai kamyab hona.
Tum asaan samajhte ho kya daniyal hona.

-


4 JUN 2022 AT 0:41

Nojawan husn tumhara.
Or.
tumhari na-balig shetaniya.
Bator-e-ishq bhala chahiye kya or.

-


Fetching daniyal khan Quotes