Wafa ka ye qissa sunane se pahle,
Tum Socho zraa muskurane se pahle,
Iltija ye hai bus mera dil nikal lena,
Mujhko zami me dafnane se pahle,
Ye nadaan chehre hi dete hai dhokha,
Sambhal jao tum chot khane se pahle,
Kahan wo sadak hai kahan wo khidki
Bus Gali uski dikha do jalane se pahle,
Mujhe tumse koi shikayat hi nahi hai,
Jub socha nahi kuch dil lagane se pahle,
Khuda ki kasam ab Rana, Rana nahi hai,
Ye to sochna tha chhod jane se pahle,
-
Insta- official_danishrana
Wafa ki raah me badnam hai wo dusra ladka,
Pyaar se abhi takk anjaan hai wo dusra ladka,
Khudi mitayi khud ko chhoda khud ka na rha,
Magar phir bhi ghumnam hai wo dusra ladka,
Wafa agar milti to wo ban jaata aakhri bhi,
Bewafayi ki pahchaan hai wo dusraa ladkaa,
Uski hasi me apni khushi ko dhund raha hai,
Kitna masoom, nadaan hai wo dusra ladka,
Mahal, Raja, Rani chakachondh khushiyo ki,
Magar khandar sa viraan hai wo dusra ladka,
Log diwana pagal aur jane kya kya kahte hai,
Btaa Rana tera hi naam hai wo dusra ladkaa,
-
Saare geet bemaani lag rahe hai mujhe,
Tere qisse kahaani lag rahe hai mujhe,
Bichhadkar tujhse ye haal ho gya hai,
Mere ansoo paani lag rahe hai mujhe,
Khuda kasam sambhal kar rakhenge,
Mere zakhm nishani lag rahe hai mujhe,
Koi ab nikal kar fenk de in aankho se,
Tere khayaal nadaani lag rahe hai mujhe,
Koi aaye koi jaaye ab kya farq padta hai,
Rana lamhe Nagahani lag rhe hai mujhe,
-
Dard aisa hai ki kisi ko dikha nahi sakta,
Koi hakeem bhi isse ab mita nahi sakta,
Maine chaha hai jaise tujhe shiddat se ,
Koi chahe to bhi tujhe chaah nahi sakta,
Aise haalat hai ki mai gale se nabina hun,
Geet kayi likhe hai par mai gaa nahi sakta,
Ghar ki diwaro se mitaya hai tera nam ,
Rooh ki diwaro se to isse mita nahi sakta,
Teri saari nishaniya jala di hai maine,
Ek bachi hai ab dil to jala nahi saktaa,
Tune Rana ko chhoda hai jiski chahat me,
Kitne barbaad hai naam ginwa nahi sakta,-
Halaat bayan jub karne wo laga,
Jheel me ek samndar utarne laga,
Mai usko chhod deta bahot pahle,
Pta nahi kis baat ka ab bura laga,
Wo kabhi samjha nahi tha mujhe,
Ye laga tha wo mujhe samjhne laga,
taash ke patto ka sa tha vajood,
Chhua usne to mai bikharne laga,
Itni tarteeb se gire kaagaz pe ansoo,
Gour se dekha to uska chehra laga,
-
Hatao channlo se ye fasaadi murge,
Bade begairat hai ye harami murge,
Suna hai dharmo ka paath padhate hai,
Nafrato ki taaq me hai siyasi murge
-
Vaise to tumko bhulana mushkil hai,
Par apna bhi dil dukhana mushkil hai,
Ishq dekh zamane mujhe raaye na de,
iss chahat ka andaza lagana mushkil hai,
Kar dete hai jane kya kya wade ishq me,
un wado ko hakikat me nibhana mushkil hai,
Mai barish me bheeg raha hun mera kya,
Suno Gili lakdi ko aag lagana mushkil hai,
Mousam hai yade hai aur ye baarish ,
Tere bina isme bhig jana mushkil hai,
Mai to kahta hun Rana khud sambhlo tum,
Varna tumko sambhal pana mushkil hai,
-
Mai aise chhod jaunga tujhe ek din,
Jaise jism ko jaan chhod jaati hai-
Ajkal Muhabbat kaha hai bey?
Kisi me Sharafat kaha hai bey?
Tum kya koi aashiq washik ho?
Abe to isme izzat kaha hai bey?
Taras khaao humare haal par ,
Tumhari insaniyat kaha hai bey?
-
Tu hi ab sambhaal mujhko,
Naa itna kar nidhal mujhko,
Yahan mera dum ghutata hai,
Tu khud se ab nikal mujhko,
Kisi tarah patthar ka ho jaau,
Koi aisaa de kamaal mujhko,
Mai sara andhera kha jaau,.
Tu de de aisa jamaal mujhko,
Tarakki de to de rasaayi bhi,
Varna rahnde behaal mujhko,
Tum kaha hogi kaisi hogi?
Aate jaate hai khyaal mujhko,
Rana ,Rana Tumhi ho naaa
Log karte hai sawaal mujhko,
-