Vibes of Summer season...
-
Smart work is preferable over hard work... read more
Life's not a pause in stormy strife,
But dancing bold through trials of life.
Each dawn rewrites what came before,
Live full, live true, and seek much more.-
A pillar strong, through night and day,
He lights my path, he shows the way.
With silent love, so deep and true,
My father's heart beats brave and blue.-
محبت کی خوشبو بکھرنے لگی،
Muhabbat ki khushboo bikharne lagi,
پھر دھڑکن کی لے بھی سنورنے لگی ۔
Phir dhadkan ki lai bhi sanwarne lagi.
نظر میں بسی تیری تصویر جب،
Nazar mein basi teri tasveer hai,
دعا ہر گھڑی تجھ کو کرنے لگی۔
Dua har ghadi tujh tujh ko karne lagi.-
Ek daur chala hamara jab sath hua karte the,
Zamane bhar hath mein hath hua karte the.-
Barish hui hai iska Matlab dhul thodi jaoge,
Mehfil mein hansne-hasane se khul thodi jaoge.
Tum hi na kehte the ankho mein basa hoon kab se,
Ab nazrein milne par chehre ko pher thodi jaoge.
Achha-khasa waqfa loge aur fir bologe ab bahot hua,
Aib janne ke baad tarif sunte hi phool thodi jaoge.
Thik hai, manta hoon tanaza jo hua so ho chuka,
Bure waqt mein rishton ko aise bhool thodi jaoge.-
Karne de mujhe ishq isme marz kya hai,
Teri wafa ka baqi rahna isme qarz kya hai.
Ishq to Ishq hai, ho hi jati hai kisise bhi,
Tujhe pasand hi kiya, hoon isme harz kya hai.
Tere faisle teri hi pasand par chhodta hoon,
Sajde karun ya ishq karun, inme farz kya hai.
Khwari kar Khud kahan se kahan le aya,
Ishq ka hi to sitam hai, isme dard kya hai.-
Maine kab kaha ki bhool jaunga tujhe,
Awaaz to de theek wahin milunga tujhe.
Badalte rishte ki baat karte ho tum,
Main to har mausam chahunga tujhe.
Umdah ishq ya kasrat se nafrat karalo,
Koshish kar par aazmana na mujhe.-
Waqt achha Kat raha tha, Kahani achhi ban rahi thi,
Hissa mera mil raha tha, hadson mein jawani Kat rahi thi.
Ibadat thi ya Ishq karta tha, Khuda ki mehebani ho rahi thi,
Roz Manga karta tha, dua bhi qubool ho rahi thi.-
Zamane ko dosh deta rah gaya,
Kab jagunga hosh ata rah gaya.
Meri susti is qadar tari hai mujh par,
Lut raha koi mujhe hosh ata rah gaya.-